Tuesday, May 13, 2025
HomeJurmGodavari ke sanehay mein marne waloun ki tadad 26 hogayi, mazeed 14...

Godavari ke sanehay mein marne waloun ki tadad 26 hogayi, mazeed 14 lashein nikaali gayeen

Rajahmundry : Andhra Pradesh ke mashriqi Godavari mein itwaar ko paish aaye kashti ulatnay ke sanehay mein halaak honay walon ki tadaad badh kar 26 hogayi hai.

Mangal ke roz imdadi kaarkunoun ne Godavari nadi se mazeed 14 lashain nikalen. jabkay 20 ke qareeb afraad abhi bhi lapata hain. haadsa ke 3 roz ke baad bhi haadsay ki jagah par talashi muhim jari hai.

Wazeh hoke saiyahati kashti, jis mein 70 se zayed afraad moujood they, itwaar ki seh pehar ko chulluru gaon ke qareeb ulat gayi thi. ohdedaron ke mutabiq muqami logon ne 27 logon ko bachaaya. haadsay ki jagah ke qareeb Devipatnam mein 12 lashain mili hain. do lashain jo beh gayeen theen, inhen Duvaleshwaram pull se nikala gaya.

Search operation mein hindustani behria ka amlah, NDRF aur fire service ne hissa liya hai. aur bachao wo imdadi kamon mein masroof hain. imdadi kaarkunon ne kashti ka pata laganay ke liye apni koshishen jari rakhay hoye hain, jiske talluq se khayaal kiya jaraha hai ke kashti 315 foot ki geherai mein phas gayi hai. haadsay ke maqam par pani ke taiz bahao aur hawaoun ki wajah se inhen search operation mein dushwari ka saamna karna padh raha hai.

Ohdedaron ne andesha Zaher kiya hai ke is kashti mein mazeed kuch lashain hosakti hain. ittila ke mutabiq niji kashti mubayyana tor par ijazat ke baghair chalaye jarahi thi, aur zindah bach jaane walon ne ilzaam lagaya ke kashti chalanay walay amalah ki laa-parwahi ki wajah se yeh haadsa paish aaya hai. –YTN STAFF