ShahJahanpur : BJP rehnuma chinmayanand, jo ek Taliba ki Ismat dari karne ke ilzamaat ka saamna kar rahay hain. Peer ki shaam unki achanak tabiyat kharab hogayi. iske baad, doctoron ki ek team ilaaj ke liye unke Ghar pohanchi.
Chinmayanand ke wakeel ne bataya ke sabiq wazeer ko peer ki shaam se halka bukhaar tha, iske baad inhen seenay mein shadeed dard hua aur sugar ki satah bohat kam ho gayi.
Doctoron ki team unka ghar par ilaaj kar rahi hai. isi douran niji nursing home ke 4 doctoron ki team bhi talab ki gayi hai. aur unki haalat is waqt mustahkam hai.
72 sala siyasat daan -swami chinmayanand par Ismat dari ka ilzam laganay wali Taliba ka adalat mein bayan record kiya gaya, sakht Security ke darmiyan Taliba geeta ko Judicial court magistrate mein le jaya gaya jahan is ka dafaa 164 ke tehat bayan record karaya gaya. –YTN STAFF