Hyderabad : Hyderabad aur Hyderabadiyoun ke liye mah September kayi ek talkh yadoun ki dukh bhari daastaa’n apne daman mein rakhta hai shayad is liye bhi Hyderabad mein September ko ” sitam-gar” ke naam se bhi yaad Kiya jata hai.
Waisay to mah September mein Hyderabad aur Hyderabadiyoun ney kayi ek masaaib ka saamna Kiya hai lekin un sab mein Hyderabad ki khooni tareekh se bada haadsa hi tasawwur Kiya jata hai. ek janib September mein Hyderabadiyoun ko ek khofnaak waqea ka saamna karna padha to doosri janib muslim mukhalif zehniat rakhnay wali BJP aur is Haleef jamatein 17 September Hyderabad ki azaadi ka jashn mananay ka elaan karte hue zakhamo par namak chidakna ka kaam karti hai aur ab to ek aur muslim aksriyati abadi wali riyasat Kashmir ki khud mukhtari khatam karne ke baad hyderabadi khooni tareekh par jashn mananay ki baat ki jarahi hai.
Tareekh gawah hai kis tarhan nizaam ki riyasat Hyd ki khud mukhtari khatam karne aur usay Hindustan mein zam karne ke liye police karwai ke naam par fouji karwai karte hue musalmanoun ki jaan, maal, izzat abaroo ka nah sirf nishana banaya gaya balkay Hyderabadiyoun ko ijtimai Khudkushiyoun par majboor Kiya gaya tha aur yeh hum nahi ke rahay hain balkay is waqt hukoomat ki janib se qaim kardah Sundar lal committee ki report mein honay walay inkishafaat hai lekin arbab-e-majaz ney sunder laal report ko kayi Dahoun se daba kar rakha diya gaya.
Nizam hukmurani ke khatmay ke mauqa par har saal 17 September ko Hyderabad yom-e-azadi mananay ke liye BJP aur zafrani jamaten zor deti hain lekin tareekh ka yeh siyah baab hamari nasabi kutub mein numaya nahi hai aur nah hi is mein hue wehshiana tashadud ko manzar-e-aam par paish kiya jata hai.
Sitam giri ki dastanoun ke haqayiq jo aaj bhi raaz ke pardoun taley dafan hai. Hyderabad ko mulk ki azadi ke baad Hindustan mein shaamil karne se leker Deccan mein khoon ki holi khelne janne tak ek dard naak daastaa’n hai jo aaj bhi Hyderabadiyun ke zakhamo ko hara karti hain.
Riyasat Hyderabad Deccan jiska Geographical naqsha har daur mein badalta raha 17 September 1948 tak jab hindustani foujon ney nizaam ki hukoomat ka khatema kiya is waqt tak bhi ek azeem Raqba par phaela hua 86 hazar murabba mile par phela hua englistan aur scotland ke majmoi raqbay se bhi ziyada tha.
1923 mein khilafat osmaniya ke khatema ke baad agar chupke islami mumlikatein jo baqi theen Saudi arab’ Afghanistan wo Iran waghera par mushtamil theen lekin khushhali wo shaan wo Shaukat ke lehaaz se riyasatِ Hyderabad ko jo bain ul aqwami maqam tha is ka zikar aaj bhi angraiz musanifeen ki tasaneef mein moujood hai. lord mountbatten ney apni sawanah hayaat mein tazkara kiya hai ke doosri jang-e-azeem ke baad jab englistan muashi tour par dewalia hochuka tha aisay waqt mein nawab Mir Osman Ali Khan ke giran-qadar atiyat ney badi had tak sahara diya.
Mecca Muazzama aur Madina Munawwara ke pani aur bijli ke kharch bhi riyasatِ Hyderabad ney apne zimmay le rakhay they aur is azeem maqsad ke liye madina building ke naam se shaandaar imaratein jo aaj bhi baqi hain Mecca aur Madina ke liye waqf theen jin ke karaye mecca aur madina ko bheje jatay they iske alawa hajiyoun ko rehne ke liye Rubat ke naam se nizam ney mecca aur madina mein harmein se qareeb emaratein banwadi theen.
Is shandaar maazi ke haamil Hyderabad ki azad Hindustan ke sath ek khooni tareekh shuru hui kyunkay azad Hindustan ke pehlay Wazeer-e-Azam pandit Jawahar lal Nehru ki sarparasti mein Hyderabad riyasat ko Hindustan mein shaamil karne ki koshish ki gayi jis ke liye fouji karwai ka aaghaz hua jisay’ ‘ action polo’ ‘ ka naam diya gaya action polo ek code naam tha jo Hyderabad Riyasat ko 1948 mein Hindustan mein shaamil karne ke liye ki jane wali fouji karwai thi jo baad mein fouji barbariat mein tabdeel hogayi.
Hyderabad ki shikast par Sarojni Naidu ka izhaar dukh
Suqut Hyderabad 1948 ko bhaley Hindustan ki tareekh ka sunehra baab Vallabhai Sardar patel k ek azeem karnaama samjha jata ho magar achi khasi tadaad aisay logon ki bhi hai, bilkhushoos Andhra Pradesh mein’ jo aaj bhi suqut Hyd ke amal ko ek azad riyasat par hamla qarar deti aur ye sawal ahteyati rehti hai ke kiya Hyderabad ka suqot Hindustan ka durust aur jaiyez qadam tha
Syed ali hashmi ki angrezi kitaba an avoidable invasion : 1948 Hyderabad mein hukumat-e-hind aur Nizam Hyderabad ke numaindoun ke darmiyan muzakraat ki ankhen kholnay wali tafseelaat paish ki gayi hain. isi kitaab mein is waqt ki Uttar Pardesh ki Governor Sarojni Naidu ka waqea bhi tehreer hai jis mein unhon ne Hyderabad ki shikast par apne gehray dukh ka izhar kiya tha.
Musanif ne debachay mein unn dinoun uttar pradesh ki governor Sarojni Naidu ka ek waqea tehreer kiya hai. woh suqot Hyderabad ke taaluq se apne jazbaat ka izhar yun karte hain ‘ bataya jata hai ke qoum parast leader aur mujahideen azaadi mein ahem muqam ki haamil sarojni naidu apne aansoo nahi rok payen jab unhoun ne suna ke Nizam Hyderabad ne Hindustan ki hukoomat ke samnay khud supurdgi kardi hai. unhon ne kaha’ aaj mere mulk ne apni aazaadi khodi hai.’ unhoun ne larazti aawaz mein kaha’ ek HyderabadI ke nate mein apne mulk ki shikast per matam kinaan hon.’ un dinoun Mohtarma sarojni Naidu Uttarpradesh ki governor theen.
Hyderabad ka ilhaaq
September 1948 mein, hindustani fouj ney is waqt ki Shahi riyasat hyderabad ki taraf March kiya. jisko operation polo ka naam diya gaya jiska maqsad nizaam Shahi hukoomat ka khatema aur riyasat-e-Hyderabad ko hindustan mein shaamil karna tha.
Hindustan ki sabiq riyasatoun ney angrezo ke sath Muawin ittehaad barqarar rakha tha jis ke zariye woh apne ilaaqon mein khudmukhtaari ka lutaf uthatay they lekin Hindustan ke azaadi act 1947 mein aisay tamam ittehaad mo-attal kardiye gaye, jis se hindustani reyaston ko mukammal azaadi ka intikhab karne ka ikhtiyar diya gaya tha. lekin 1948 tak, un mein se taqreeban tamam reyaston ney Hindustan ya Pakistan mein zam honay ka faisla karliya tha lekin Hyderabad apne muaqqaf par atal tha.
Hyderabad ke Nizam, Osman Ali Khan , Asifjah ney azad riyasat rehne ko tarjeeh di thi aur apna Iqtidaar qaim rakhnay ki hatta-al-maqdoor koshish ki lekin doosri janib Jawaharlal Nehru ki sarparasti mein nou tashkeel shuda azad hindustani hukoomat riyasat Hyderabad ko hindustani union mein zam karne ke liye be-chain thi.
Iske liye riyasat Hyderabad mein hindu abadi ke khilaaf raza karon ka ishtial aur tashadud aur ka Propoganda karte hue sardar patel ney September 1948 mein police action hukum diya. 5 din mein jisko kisi had tak gumraah kan tor par police action kaha gaya woh hindustani fouj ki karwai thi jis mein is ney Hyderabadi razakaroun ko shikast day kar Hyderabad jamhooria hind ka ek hissa banaya gaya fouji karwai ke douran musalmanoun ki jaan aur maal ko tabah karne ke alawa khawateen ki Ismat rezi aur bachoun par zulm ki ek bhayanak daasta noun hai jis sundarlal committee ney paish kiya tha lekin is Sundarlal committee ki report ko manzar-e-aam par laane ki har koshish ko dabadiya gaya.
Sunder lal committee ki report ko manzar-e-aam par laane ki BJP mein himmat nahi ?
taqseem hind par tamam reastain Mulk ka hissa ban’nay par tayyar theen lekin Hyderabad ke Nizam ka faisla tha ke woh khud mukhtar hi rahenge. Hyderabad aur hukoomat hind ke Darmiyan yeh maamla Afham wo Tafheem se tey nah hosaka aur hukoomat ki bardasht ki taaqat khatam hogayi. hukoomat yeh bhi nahi chahti thi ke wast Hindustan mein ek musalman riyasat ko khud mukhtar rehne diya jaye.
September 1948 mein is waqt ke Wazeer-e-Azam Jawaharlal Nehru ney fouj ko Hyderabad mein daakhil honay ke ehkamaat jari kiye. iske foran baad hi, riyasat se badey paemanay par tashadud ki it-tila-aat samnay ayen, jis ney hindustani fojion par be-rehmi se qatal aur muslim abadi ko sangsar karne par tanqidein shuru hui.
Ghabraye hue nehru ney pandit sundar laal, qaazi Abdul al ghaffar, aur moulana Abdul Ullah Misri ki sarbarahi mein is muamlay ki tehqiqaat aur report paish karne ke liye ek makhloot committee tashkeel di. Wazeer-e-Azam ney ek team tashkeel di jis mein mukhtalif mazahab ke afraad shaamil they ke woh Hyderabad jayen aur tehqiqaat karen. Is team ki qiyadat congress ke rukan pandit sunder laal ney ki. is team ney riyasat mein waqay kayi dehaat ka doura kiya, lekin unki tashkeel kardah report kabhi manzar-e-aam par nahi aayi.
Sunderlal report ka yeh wafad Pandit Sunder lal’ qaazi Abdul Ghaffar aur Moulana Abdullah Misri par mushtamil tha. aur yeh 29 November ko Hyderabad pohancha aur 21 Dec 1948 ko Dehli wapas hua. is muddat ke douran wafad ne riyasat ke 16 azlaa ke Minjumla 9 ka doura kiya. 7 zila mustaqar, 21 town aur 23 Mawaziat ke alawa wafad ne 500 se zayed afraad jin ka taluq 109 Mawaziat se hai jahan wafad ne doura nahi kiya wahan unhon ne Interview liya hai.
Mukhtalif muqamat par mazid 31 jalsoun, 27 khangi nishistoun jin mein Hindu muslim , sarkari ohdedaran ke arkaan mukhtalif taleemi idaron se taaluq rakhnay walay talba wo staff, taraqqi pasand musanifeen ki association ke arkaan, Hindustani parchaar sabha waghera ke numaindon, mandoobeen wo karkun shaamil they se khitaab kiya.
Sunderlal report mein hinduoun ki janib se ki gayi behmana karwaiyon ka ahwaal bhi darj kiya gaya hai. sunderlaal report mein bayan kiya gaya hai, kayi ilaaqon mein hamein convey dikhaay gaye jo is waqt bhi laashoun se bharay pade they.
Ek jagah hum ne 11 lashein ginen jin mein ek bacha ek aurat ki seeney ke sath chimta hua tha. report mein kaha gaya hai hum ne Khaddoun mein lashain padi dekhen. kayi jaghon par musalmanoun ki laashoun ko aag lagai gayi thi aur hum jali hui lashain aur khopdhiyan dekh sakte they. sunderlaal report ke mutabiq sirf 4 din mein 27 se 40 hazaar afraad ko qatal-e-aam kiya gaya.
Taqreeban tamam muqamat par mutasirah ilaqoun mein firqa waranah junoon sirf qatal tak mehdood nahi raha. mardon ke alawa aurton aur bachoun ko bhi nahi Baksha gaya. Ismat reizi aur aurtoun ka aghwa ( kayi waqeat mein riyasat Hyderabad ke bahar hindustani shehron jaisay Sholapur, Nagpur se aakar yeh jaraim kiye gaye ) loot maar, atishzadgi, masajid ki be-hurmati, jabri tabdeeli mazhab, makanaat aur araziyat par qabzay hain.
Crores rupaye maliyat ki amlaak lootli gayi ya tabah kardi gayeen aur mutasir honay walay musalman jo dehi ilaaqoun mein be-yaromaddagar ek aqliat hai yeh muzalim riyasat Hyderabad ke ghair muslim par nahi they. yeh muzalim infiradi afraad ke alawa awam ke hujhoom ne bhi anjaam diye.
Musallah ya ghair muslahoun mein woh log bhi shaamil they jo hindustani fouj ke riyasat Hyderabad mein dakhla ke sath sarhad paar se daakhil hogaye.
Hindustani fouj ke kirdaar ke baare mein Sundarlal report mein kaha gaya hai ke hamaray fareeza ne hamein is baat ke liye majboor kiya hai ke hum ne un mein bilkul na qabil tardeed waqeat kabhi zikar karen jahan hindustani fouj aur muqami police ne kaisay loot maar aur deegar jaraim mein hissa liya hai.
Sunderlal report ke wafad ne bayan kiya hai ke jis tarhan se hum se khwahish ki gayi hai ke isi ki bunyaad par hum ne kaam anjaam diya hai. agar aisi khwahish ki jati hai to hum woh tamam munasib wa mouzoo mawaad jisay hum ne akatha kiya hai aap tamam ke samnay paish karne ke liye tayyar hain.
65 saal se sunder laal committee report ko darpardah rakha gaya kyun? kiya iski wajah yeh hai ke iski dastawizaat mein badi tadaad mein insani jaanoun ka zaya, loot maar, khawateen ki ismat raizi hai aur yeh sab azaadi ke naam par hua tha. kiya hum usay azaadi se tabeer kar sakte hain? kiya azaadi zurori tor par insani jaanoun aur Waqar ki qeemat par aati hai? kiya Hyderabad yom-e-azaadi manana ek qabil-e-nafrat insani almiya ki tareekh ko majrooh nahi karta hai? aur Hyderabadiyoun ke zakhamoun par namak chidaknay ke mutradif nahi hai. –YTN STAFF