Sunday, May 11, 2025
HomeIndiaMulk mein mulazimatoun ki koi kami nahi, qabil noujawano ki kami hai...

Mulk mein mulazimatoun ki koi kami nahi, qabil noujawano ki kami hai : Santosh Gangwar

New Delhi : Markazi wazeer Santosh Gangwar  ney be rozgaar nojawano ke baarey mein ek bada bayan diya hai. unhon ney kaha ke mulk mein mulazimatoun ki koi kami nahi hai, lekin qabil noujawano ki kami hai. Santosh Gangwar  Bareli mein ek programme mein shirkat ke douran yeh baat kahi.

Unhon ney kaha ke aaj mulk mein mulazimatoun ki koyi kami nahi hai, lekin shumali Hindustan ke noujawano mein yeh salahiyat nahi hai ke woh inhen rozgaar muhaiya kiya  ja sakay. inka kehna hai ke hum isi wizarat ka kaam sambhal rahay hain, isi liye mujhe maloom hai ke mulk mein mulazimatoun ki koi kami nahi hai. balkay jo companian mulazmat dainay aati hain unka kehna hota hai ke un nojawanon mein salahiyat hi nahi hai.

Wazeh hoke mulk ke berozgaar noujawano ke taluq se congress party, hukoomat par tanqeedi hamla karti rahi hai. kuch arsa pehlay congress ki general secretary Priyanka Gandhi ney auto sector ke bohraan se mutaliq modi hukoomat ko nishana banaya tha.

Unhon ney is maamla par hukoomat ki khamoshi ko khatar naak qaraar diya tha. aur kaha tha ke auto sector ke 10 laakh afraad ki nokari khatray mein hai. Unhoun ney ilzaam lagaya tha ke rozgaar ko tabah karne, kaarobar ko kamzor karne aur maeeshat ko todnay wali policies par BJP hukoomat ki khamoshi sabse ziyada khatarnaak hai.

Ab Santosh Gangwar ka bayan samnay aaya hai, jis mein unhon ney seedha nojawanon ki qabliyat unki salahiyaton par hi sawal uthaya hai. aur yeh daawa kar rahay hain ke mulk mein mulaazmaten hain, magar nojawanon mein hi salahiyat nahi hai. –YTN STAFF