Sunday, April 20, 2025
HomeOthersBusinessDanube ki Hindustan mein sarmaya kaari mein mazeed izafah, Kochi mein...

Danube ki Hindustan mein sarmaya kaari mein mazeed izafah, Kochi mein naye markaz ka qiyam

Hyderabad:  Dubai se taluq rakhnay wali Maroof company Danube properly jis mein Hindustan ki shumali reyaston mein apne tijarti marakaz qaim karne shuru kiye hain jaissa ke is ney haliya mahino ke douran hyderabad mein apna pehla markaz qaim kiya tha.

Danube UAE ki ek aisi Maroof company hai jo kay duniya bhar mein real estate aur makanon ki tamirati ashiya ke alawa unki Zaib wo Araish mein Asri sahuliyaat faraham karti hai.

Company ke baani aur chaiman Rizwan Sajan ke alawa director Asif Rehman ney junoobi Hindustan ke dosray markaz jo ke kerala ke kochi  mein qaim kiya gaya hai. is zimn mein izhar-e-khayal karte hue kaha ke hyderabad mein company ney behtareen khidmaat faraham karne ke baad ab junoobi Hindustan ki doosri riyasat ka rukh kiya hai.

Rizwan aur Rehman ney media numaindon se izhar-e-khayal karte hue mazeed kaha ke Hindustan mein yeh choutha markaz hai kyunkay is se qabal Mumbai mein 2016ء aur Delhi mein 2017 ko tijarti marakaz qaim kiye gaye they.

Hindustan jo is waqt muashi bohraan se pareshan hain lekin UAE ki yeh company 2018 usay jo kay Hindustan ko apna ek ahem tijarti markaz banatay hue yahan sarmaya kaari kar rahi hai. yahi wajah hai ke dono mumalik ke darmiyan 2018 ke douran berooni raast sarmaya kaari ( FDI ) ke tehat 31 projects shuru kiye gaye they jinki sarmaya kaari 3.71 billion Doha riyal hai.

Yahan is baat ka tazkara bhi ahem hai ke khaleeji mumalik mein muqeem hindustani afraad Dubai ke real estate mein sarmaya kaari ke zaraye mein sab se ahem zareya hai kyunkay Dubai mein is waqt jo badey real estate projects chal rahay hain un mein Hindustan ke kayi naamwar afraad ki hissedaari hai. yahi wajah hai ke Danube ney Hindustan ki kayi ahem reyaston aur shehron mein apne tijarti marakaz qaim karne shuru kiye hain. –YTN STAFF