Chennai : Madras High Court ne, ghair qanooni hoardings se mutaliq Tamilnadu hukoomat ko phatkaar lagatay hue jumme ko poocha ke is tarha ke banners se aur kitni jaanen jayengi, jo logon ki zindagi ko khatray mein daal rahay hain.
Ek din pehlay jumeraat ko shehar mein ghair qanooni hoarding software firm mein kaam karne wali ek 23 sala khatoon Subashree par gir gaya. jiski wajah se is khatoon ka tawazun bigadh gaya aur woh sadak par gir gayi, isi douran pani ke tanker ne usay kuchal diya tha.
Adalat ne kaha ke kiya hukoomat aisay ghair majaz banners ke khilaaf sakht muaqqaf apanegi. Justice M satyanarayan aur ne taajjub kiya, aur kaha hai ke hukoomat ko sadkon ko rangne ke liye aur kitnay litter khoon ki zaroorat hai.
Adalat ne reyasti hukoomat ko mutasirah afraad ke ahal-e-khanah ko 5 laakh rupaye muawza dainay ki hidaayat ki hai. iske sath hi hukoomat ne yeh raqam is waqea ke zimmedaar afraad se wusool karne ko bhi kaha. aur hukoomat ko hukum diya ke mutaliqa officers ke khilaaf munasib karwai karen. chahay woh mehakma police se hon ya Chennai corporation se hon.
Adalat ne yeh bhi kaha ke ”ghair qanooni banners ke khilaaf guzashta kayi saloun se jari kardah ehkamaat par amal na karne ke baad is ne hukoomat par etemaad kho diya hai.
Adalat ne herat ka izhaar kiya ke ”agar banners nahi lagaye jatay hain to siyasat dan kia shadiyon mein shareek nahi honge, aur kaha ke wazeer-e-aala. K. Palaniswami ko apni party ke sathiyon ko is tarha ki karwaiyon se baz rehne ke liye ek bayan jari karna chahiye.
Wazeh rahay ke, high court ki janib se awaami maqamat par hoardings par pabandi aed karne ke bawajood, AIADMK party ke ohdedar C. Jayagopal ne masroof sadak par khandani shadi ka banner lagaya tha. Subashree office se ghar wapas aa rahi theen, jab woh haadsa ka shikaar huien.
Is waqea ke baad, Tamilnadu mein siyasi jamaaton ne apni apni party ke kaarkunon par zor diya hai ke woh banners ya hoardings nah lagayen. is waqea ke zimmedaar logon ke khilaaf karwai ka aaghaz kya gaya hai, jinhon ne banner lagaya tha aur police ne tanker ke driver ko taiz gaadi chalanay ke ilzaam mein girftar kiya hai. sath hi Chennai corporation ne banner print karne walay printing press ko bhi seal kar diya hai. –YTN STAFF