Hyderabad : Lakdi ki bani khobsorat cheeze kisay pasand nahi hoti aur agar Laptop hi lakdi ka bana hua ho to bhi khobsorat honay ke sath sasta aur derpa chalne wala hoto phir har koi is ka garweedah hojayega.
Smart phone aur Laptop bananay wali companian har saal naye model paish karkay logon ko lubhati hain lekin un ki qeematein ziyada honay se sarfeen ki jeb khaali hoti rehti hain lekin isi khaami ko mehsoos karte hue pairo ki ek compane ne lakdi se bana ek kam kharch Laptop banaya hai jo ba aasani 10 taa 15 baras tak chal sakta hai .
Usay Va-va Laptop ka naam diya gaya hai jisay batorِ khaas ghareeb afraad ke liye tayyar kiya gaya hai. usay bananay wali company ke mutabiq yeh ek single board computer ( CBC ) hai jisay waqt ke sath sath upgrade kiya ja sakta hai aur murammat mein bhi asan rehti hai. chobi Laptop ki qeemat 235 dollars ka hai aur circuit board ki qeemat sirf 35 dollars hai jo bazaar se khareeda jasakta hai.
Sab se pehlay 2015 mein yeh Laptop banaya gaya lekin ab is ke jadeed version mein fiber board istemaal kiya gaya hai jisay recycle kiya ja sakta hai aur operating system links system ka hai jo muft mein dastyab open source operating system hai bhi hai.
Dilchasp baat yeh hai ke yeh riwayati charging ke tareeqon ki bajaye Sooraj ki roshni se bhi charge hota hai.
Laptop ka poora circuit kuch aisa hai ke is mein koi bhi purzah nikala aur lagaya ja sakta hai jis se Laptop ki Umar badh jati hai aur waqt ke sath upgrade hokar 15 saal tak aap ki tamam zaroriat poori karsaktha hai.
Is Laptop se wabsta ek engineer ne kaha ke primaray ke talib-e-ilm is Laptop ka version 3 istemaal kar saktay hain aur secondary jamaat mein version 4 istemaal karte hue usay university tak up grade kar saktay hain.
Wazeh rahay ke pairo ki zabaan mein vav kisi bachay ko kehte hain. taham ab tak usay pairo se bahar farokht karne ke mutaliq compane ne kuch nahi bataya hai lekin umeed ki ja sakti hai ke is maqboliat ko dekhte hue compane usay beron mulk farokht karne ki tayari bhi kare. –YTN STAFF