Wednesday, May 14, 2025
HomeJurmBoodha ban kar America jane ki koshish, dhoka baz noujawan girftar

Boodha ban kar America jane ki koshish, dhoka baz noujawan girftar

New Delhi : America jane ka khawab har noujawan apni aankhon mein sajata hai aur America pohanchnay ke liye koi sakht mehnat ka rasta ikhtiyar karta hai to koi kuch talaash karne lagta hai lekin jin ke paas yeh dono rastay aasan dastyab nahi hotay woh ghalat raah ikhtiyar karte hue America jane ki koshish karte hain lekin woh America to nahi pohunchaty balkay jail ki salakhon ke peechay pohanch jatay hain aisa hi ek waqea Dehli mein paish aaya jahan ek noujawan 80 ka Boodha ban kar America jane ki koshish kar raha tha jisay girftar karliya gaya.

32 sala shakhs ne ek 81 sala boodhey fard ka mutasir kin bahrup badla aur phir jaali passport par America jane ki koshish ki. tafseelaat ke mutabiq yeh waqea dar-ul-hukoomat nai Delhi ke masroof tareen Indra Gandhi International airport par paish aaya jahan Jaish patel Nami shakhs amlay ki tavajja ka markaz ban gaya.

CISF  ke ek ohdedar ne kaha ke yeh shakhs khud ko bohat ziyada ma-umar aur mazoor zahir kiya, jab is se wheel chair se khada honay ka kaha gaya to patel ka jawab tha ke woh khada nahi ho sakta, jab poocha gaya ke kya woh madad ke sath khada ho sakta hai, to baadal na khwasta khada hua.

Yeh woh mauqa tha jab amlay ko mehsoos hua ke musafir ki daadhi aur baal to safaid hain lekin unki jadein siyah hain, jabkay amlay ki nazroun se bachney ke liye is ne taiz chalna bhi shuru kardiya. yeh raat gaye New York jane wali parwaaz mein sawaar hona chahta tha aur jab is se dastawizaat talab ki gayeen to isne jo passport diya, is ke mutabiq iska naam Amrica singh tha jabkay paidaiesh feb 1938 ki darj thi, yani 81 saal Umar zahir ki jarahi thi .

Taham kishore ke mutabiq woh kisi bhi tarhan 80 saal ka deekhaee nahi day raha tha, is ki jild jawan fard jaisi thi. CISF ke ek aur ohdedar Harmendar singh ke mutabiq is shakhs ne ibtidayi security check ko dhoka day diya tha aur immigration clear kardiya gaya tha. CISF ko shak hua ke is ki aawaz Umar se mutabqat nahi rakhti, jabkay safaid balon ke bar-aks is ki jald se woh jawan lag raha tha jabkay chehray par kisi qisam ki jhuriyan bhi mojood nahi thee.

Is ke baad jab mazeed pooch gach ki gayi to is ne boodhey shakhs ka bahrup badalne aur jaali passport ke istemaal ka aiteraaf karliya aur bataya ke woh riyasat Gujrat ka rehne wala hai. chunkay iske paas jaali passport tha to usay hirasat mein le kar immigration hukkaam ke hawalay kardiya gaya.

Delhi police ke hawalay se bataya gaya ke yeh shakhs America mulazmat ke liye jana jata tha, jis ke liye is ne daadhi badhai aur phir balon ko safaid rang se die karliya phir is ne motay chashmay aur pagdi ko pehan liya, jabkay woh ek ma-umar shakhs ki tarhan chalne ki bhi koshish karta raha. un tamam koshisho ke bawajood woh airport hukkaam ko dhoka dainay mein nakaam raha aur usay girftar karte hue police ke hawalay kardiya gaya hai.  –YTN STAFF