Riyadh : Saudi press agency ( SPA ) ke mutabiq, Saudi Shahi adalat nay peer ko elaan kiya ke Saudi arab ke shehzada Prince Faisal bin Fahd bin Mishari bin Jliwy Al Saud intqaal kar gaye hain.
Shehzada Faisal Saudi arab ke Al-khasim khittay ke sabiq shehzada Fahd ban Mishari ke Farzand they. Namaz-e-janaza Baroze peer ko muqami waqt ke mutabiq baad namaz-e-asar Riyadh ki Imam Turki bin Abdullah masjid mein ada ki jaye gi. –SOURCE : SPA