Saturday, May 10, 2025
HomeOthersBusinessICICI Bank apni CEO Chanda Kochhar ke khilaaf shikayaat ki...

ICICI Bank apni CEO Chanda Kochhar ke khilaaf shikayaat ki tahaqeeq kere ga

Gumnaam whistleblower ki janib se aed kardah ilzamaat ki tahaqeeq ki qayadat aik azad fard kere ga

Mumbai . ICICI  Bank limited ne aaj kaha ke cheif executive Managing Director Chanda Kochhar ke khilaaf aik gumnaam whistleblower ke aed kardah ilzamaat ki tehqiqaat ki jaye gi. Bank ne bataya ke tehqiqaat ki qayadat aik azad fard kere ga. un ilzamaat ki jaanch ki jaye gi ke cheif executive Bank ke qawaid se mutaliq qawaid ki pasdar y nahi kartin aur un ke iqdamaat mein ‘tassadum mafadaat’ hai. Bank ko un ilzamaat ka saamna hai ke Kochhar ne mobayyana tor par video kaan group ko qarza jaat ki farahmi mein madad ki. video kaan ke banyan ne Kochhar ke shohar ki janib se qaim kardah qabil e tajdeed tawanai company mein sarmaya kaari thi. Bank ne Kochhar ki himayat ki aur un ilzamaat ko afwaah, be bunyaad aur darogh goi par mabni qarar dyatha. ab ICICI  ke board ne faisla kya ke aik panel tashkeel diya jaye jis ki qayadat aik azad fard kere ga. maamla ki qatee yaksoi ke liye tahaqeeq mein tamam pehluo ko shaamil kya jaye ga