Hyderabad : Shehar mein in dinoun Dengue aur Malaria jaisi bimariyoun se kayi log mutasir hain. aur shehar ke mukhtalif hospitals mein Dengue aur Malaria se mutasir mareezon ki kaseer tadaad dekhi ja rahi hai. ittila ke mutabiq is saal Dengue aur deegar bimariyoun ke khison ki tadaad mein kaafi izafah hua hai. media reports ke mutabiq is season mein ab tak 1,500 cases saamne aeye hain.
Halaanke hukoomat ka daawa hai ke pichle saal darj kiye gaye 180 maamloun ka mawazna karen to is saal un maamloun ki tadaad ghat kar 149 reh gayi hai.
Awam ka maanna hai ke reyasti hukoomat aur shoba sahet ki janib se mazkoorah bimariyoun ki rok thaam ke liye munasib iqdamaat na kiye janey aur awaami sahet ka khayaal rakhnay ke bajaye, Dengue aur malaria jaisi bimariyoun se awam ko bachanay ke bajaye usay nazar andaaz kiya ja raha hai. jabkay hukoomat ko is baray mein sanjeedgi se ghour karte hue zurori ehtiyati iqdamaat karna chahiye.
Mukhtalif muqamat par jahan kachrey ke liye box rakhay gaye hain wahan kachray ke ambaar hain, inhen saaf bhi nahi kiya ja raha hai, jis se macharoun ki afzaish mein izafah ho raha hai, jo Dengue aur Malaria jaisi bimariyoun ka sabab ban rahay hain. aksar schoolon ke qareeb kachray ke muqamat rakhay gaye hain jis se bachon mein bimariyoun ke phelnay ka khatrah la-haq hai.
Is beech shehar ke school intizamia ne talba ko mashwara diya hai ke woh mukammal asteen walay kapday pehan kar aur macharoun se bachanay walay marham laga kar schools ayen. kyunkay pichlle dinoun kayi bachon ki Dengue ki wajah se mout ho gayi hai. is ke alawa bachon ke walidain ne bhi shehar mein phaile is wabaa ke talluq se tashweesh ka izhaar kiya hai.
Reyasti hukoomat ko chahiye ke shehar mein teizi se phail rahi Dengue aur Malaria jaisi bimariyoun ki rok thaam ke liye iqdamaat kare, sath hi shehar ke mukhtalif muqamat wo mohalla jaat mein moujood kachray ke ambaar ko saaf karwaye. aur un amraaz se bachney ke liye mukhtalif tadabeer ikhtiyar kare. –YTN STAFF