New Delhi : Sabiq wazeer-e-khazana P.Chidambaram , agar peer ko trial court, INX media maamla mein unki zamanat ki darkhwast ko mustard karti hai to woh mazeed 3 din tak CBI ki tehweel mein reh sakte hain.
Chidambaram ne 21 August ko giraftari ke baad se CBI ki tehweel mein 11 din guzaray hain. unki tehweel aaj khatam ho rahi hai aur inhen trial court mein paish kiya jayega. unke vakilon khadsha zahir kiya hai ke trial court ke zareya zamanat ki darkhwast mustard honay ke baais woh Tihar jail bheje janay ka khatrah la-haq hogaya hai.
Chidambaram ke wukla ne peer ko supreme court mein pur josh darkhwasten dair kee, taakay koi manfi orders paas na kiya jaye, jis se woh Tihar jail bheje jasakte hain.
Supreme court Chidambaram ki janib se unki CBI tehweel ke khilaaf dair darkhwast ki samaat kar rahi hai.
Justice R Bhanumati ki sarbarahi mein bench ke samnay apna maamla paish karte hue, Chidambaram ke wakeel senior Advocate Kapil Sibal ne kaha mai aap se darkhwast kar Raha hon’ barah-e-karam aisa na karen. jab tak aap is muamlay ki samaat nahi karte meri hifazat karen.
Bench ne inhen trial court ke samnay zamanat ke liye darkhwast dainay ko kaha, sibal ne israr kiya ke trial court kisi bhi relief ki unki darkhwast ko mustard kardeygi.
Wazeh hoke agar trial court darkhwast zamanat mustard karti hai to, iski CBI tehweel mein samaat ki agli tareekh tak teen din ki towsee ki jasakti hai. –YTN STAFF