Monday, April 21, 2025
HomeIndiaDelhi ki adalat ney Misa Bharati ke khilaaf Money laundering case...

Delhi ki adalat ney Misa Bharati ke khilaaf Money laundering case ki samaat multawi kar di

New Delhi: Delhi ki aik adalat ney hafta ke roz  Lalu Prasad Yadav ki Dukhtar Misa Bharti aur un ke shohar ke khilaaf Money Laundering case ki samaat multawi kar di. CBI ke khusoosi judge Ajay Kumar Kohar ney is maamla ki 21 September tak samaat ko multawi karte huwe case ke tafteeshi Afsar ko tamam mulzimaan ka aik mukhtasir bayan paish karne ki hidaayat ki.

Adalat agli tareekh mein faisla kere gi ke ED ki janib se dair teesri charge sheet ka jaiza liya jaye ya nahi. Case khusoosi judge Ajay Kumar ko muntaqil kar diya gaya hai. Usay pehlay CBI ke khusoosi judge Arun Bhardwaj ney is ki samaat ki thi. 10 July ko agency ki janib se dair apni teesri zimni charge sheet mein, ED ney 35 Taaza mulzimon ka naam diya jin mein se 20 firm mein hain.

2017 mein ED ney do bhaiyon, Surender Kumar Jain aur Virender Jain aur deegar ke khilaaf tehqiqaat ke aik hissay ke tor par aik Farmhouse aur kuch deegar maqamat par chhapa mara, jin par ilzaam lagaya tha ke woh Shell companiyon ka istemaal karte huwe karorron lout rahay hain.

Jain bhaiyon ko ED ney money laundering ki rok thaam ke act ke tehat girftar kiya tha. ED ney Chartered accountant Rajesh Agarwal ko bhi girftar kiya tha, jis ney mobayyana tor par saalsi ki thi aur M/s Mishail Packer aur Printers Private Limited mein share premium ke tor par sarmaya kaari karne ke liye phelay se Jain bhaiyon ko 90 lakh rupiye naqad faraham kiye they.

Misa Bharti aur un ke shohar par ilzaam hai ke maazi mein is firm mein woh director they. Agency ney ilzaam lagaya tha ke money laundering ke peechay Jain bhaiyon, Agarwal, Misa aur is ke shohar ahem afraad they.