Tuesday, April 22, 2025
HomeIndiaOpposition rehnumao ke doura-e-Kashmir se BJP ko siyasat karne ka mauqa milega...

Opposition rehnumao ke doura-e-Kashmir se BJP ko siyasat karne ka mauqa milega : Mayawati

New Delhi : Congress ki zair-e-qayadat opposition jamaatoun ke wafad ko Jammu and Kashmir douray par jaaney se mutaliq, sakht tanqeed ka nishana banatay hue, Bahujan samaj party ( BSP ) ki sarbarah Mayawati  ne peer ko kaha ke ”Rehnumaoun ko is doray se qabal sonchna chahye tha, kyunkay is se BJP ko is maamla par siyasat karne ka mauqa mileyga.

Hindi zabaan mein Tweet karte hue Uttar pradesh ki sabiq wazeer-e-aala ne kaha ke BR Ambedkar hamesha hi mulk ke masawaat, ittehaad aur salamiyat ke haq mein they. aur woh jammu wo Kashmir mein article 370 ki farahmi ke haq mein nahi they. is wajah se, BSP ne article 370 ko mansookh karne ki himayat ki.

Unhon ne kaha ke ae-en ke nifaz ke baad is article ko khatam karne mein 69 saal lagey. unhon ne kaha ke ”Riyasat mein halaat mamool par anay mein kuch waqt lageyga. hamein halaat ki behtari ke liye kuch waqt tak anttar karna chahiye. Mayawati ne kaha ke is tarhan ki sorat-e-haal mein, opposition rehnumao ka dora ( BJP ) aur jammu wo Kashmir ke governor ko siyasat karne ka mauqa faraham karega.

Wazeh rahay ke congress ke sabiq sadar Rahul Gandhi ki sarbarahi mein opposition ke 12 rehnumao par mushtamil ek wafad 24 August ko srinagar hawai adday par ruka aur wapas Dehli rawana hua tha. is wafad mein, jo wahan ki sorat-e-haal ka jaiza lelene ke liye wadi Kashmir ka doura karna chahta tha.

Is mein D. Raja (CPI), Sitaram Yechury (CPI-M), Ghulam Nabi Azad, Anand Sharma and K.C. Venugopal (Congress), Sharad Yadav (LJD), Dinesh Trivedi (TMC), Tiruchi Siva (DMK), Majeed Memon (NCP), Manoj Jha (RJD) aur  D. Kupendra Reddy (JD-S). shaamil they.

5 August se, jab Article 370 ko mansookh kiya gaya tha aur jammu wo Kashmir ko 2 markazi khitton mein taqseem kiya gaya tha, waadi ko Security lock down mein rakha gaya hai. –YTN STAFF