Monday, April 21, 2025
HomeIndiaRajiv Gandhi ka aaj 75th youm-e-paidaesh, Modi, Sonia, Rahul Gandhi wo deegar...

Rajiv Gandhi ka aaj 75th youm-e-paidaesh, Modi, Sonia, Rahul Gandhi wo deegar ne paish kiya kharaaj

New Delhi : Sabiq wazeer-e-aazam Rajiv Gandhi ki aaj 75th yom-e-paidaiesh hai. unki paidaiesh 20 Augst 1942 ko Bombay ( Mumbai ) mein hui thi. Wazeer-e-aazam Narendra Modi  ne mangal ke roz sabiq wazeer-e-aazam Rajiv Gandhi ki 75th  yom-e-paidaiesh par inhen kharaaj paish kiya.

Wazeer-e-aazam ne Tweet kiya ”humare sabiq Wazeer-e-Azam shrii Rajiv Gandhi ko unke yom-e-paidaiesh per salam.

Congress ke senior leader Rahul Gandhi ne apne waalid ko aisay shakhs ke tor par yaad kiya, jis ne inhen sikhaya tha ke kabhi kisi se nafrat mat karo“. Rahul Gandhi ne Tweet kiya ”aaj hum Muhib-e-watan aur door andesh Rajiv Gandhi jee ki 75th  yom-e-paidaiesh mana rahay hain, jin ki door andeshana policies ne Hindustan ki taamer mein madad ki.

Unhon ne kaha ”mere liye woh ek bohat mohabbat karne walay waalid they, jinhon ne mujhe yeh sikha ya ke kabhi nafrat mat karo, maaf karo aur sabhi insanon se pyar karo .

Sonia gandhi, Rahul Gandhi ke hamrah, party ke general secretary Priyanka Gandhi Vadra ne ” Virbhoomi  “may sabiq Wazeer-e-Azam ko kharaaj paish kiya. sabiq sadar Pranab Mukharjee, sabiq Wazeer-e-Azam Manmohan singh, sabiq naib saddar Hamid ansari, ghulam nabi azad, Haryana ke sabiq wazeer-e-aala Bhupendar singh Hooda , Ahmed patel aur mutadid deegar rehnumao ne bhi ”Veeerbhumi jaaker unki samadhi par phool paish kar ke Rajiv gandhi ko kharaaj-e-aqeedat paish kiya.

Wazeer aala Punjab amarendar singh ne sabiq Wazeer-e-Azam ko yaad karte hue Tweet kiya ”aap hamesha mere dil aur har is fard ke dil mein hain, jisko aap se lagao raha hai.

Congress party ne sabiq Wazeer-e-Azam Rajiv Gandhi ki saalgirah ko ” Sadbhavna Diwas “ ke naam se maanatee hai. 1984 mein apni walida aur sabiq Wazeer-e-Azam Indra gandhi ke qatal ke baad Rajiv Gandhi ko mulk ka Wazeer-e-Azam banaya gaya tha. woh 40 saal ki Umar mein Wazeer-e-Azam muntakhib hue the. Rajiv Gandhi ko May 1991 mein Tamilnadu ke Sriperumbudur mein congress ke liye intikhabi muhim chalanay ke douran qatal kiya gaya tha. –YTN STAFF