Monday, May 26, 2025
HomeIndiaKarntaka kabeena mein towsee, 17 arkaan-e-assembly ney wazeer ki haesiyat se halaf...

Karntaka kabeena mein towsee, 17 arkaan-e-assembly ney wazeer ki haesiyat se halaf liya

Bangalore : Karntaka ke wazeer-e-aala ka ohda sanbhalne ke baad, BS Yediyurappa ney mangal ke roz pehli baar apni kabeena mein towsee ki aur 17 arkaan-e-assembly ko kabeenah mein shaamil kiya . BJP ke tajurbah car Lingayat community ke rehnuma B.S. Yediyurappa ko wazeer-e-aala ban’nay ke baad unki kabeena ki yeh pehli towsee hai. Yediyurappa ney 29 July ko assembly mein apni hukoomat ki aksariyat saabit ki thi.

Raj Bhavan mein reyasti governor Vajubhai Vala ney naye wazraa ko ohday aur raazdari ka halaf dilaya. aaj kabeena mein shaamil kardah naye wazraa mein, sabiq wazeer aala Jagadish Shettar , Govind Karjol, C.N. Ashwath Narayan, Laxman Savadi, K.S. Eshwarappa, R. Ashoka, Jagadish Shettar, B. Sreeramulu, S. Suresh Kumar, V. Somanna, C.T. Ravi, Basavaraj Bommai, Kota Srinivas Poojari, J.C. Madhu Swamy, Chandrakantagouda Patil, H. Nagesh, Prabhu Chauhan Aur Jollie Shashikala Annasaheb. Karntaka mein wazeer aala sameit ziyada se ziyada 34 wazeer reh sakte hain.

Mazkoorah 17 wazraa mein 16 ka talluq BJP se hai aur ek ( Nagesh ) Bangalore se 100 mein waqay, pasmandah kolar zila mein mulbaga assembly halqa se azad hain.

Androoni dabao ke darmiyan, opposition congress aur JDS ney bhi kabeena mein towsee mein takheer par BJP ko nishana banaya aur hukumat ke ”wujud “ par sawal uthaye. congress ney daawa kiya  ke Yediyurappa ki ek rukni kabina Sadar raj “ lagta hai. –YTN STAFF