Thursday, May 22, 2025
HomeSliderAarogyasri scheme scheme ke baqaya-jaat ki Adam adaigi per Hospitals may health...

Aarogyasri scheme scheme ke baqaya-jaat ki Adam adaigi per Hospitals may health khidmaat band

Hyderabad : Telangana ki Aarogyasri scheme ke tehat sahet ki dekh bhaal ki khidmaat jummey ko ruk gayeen, kyunkay riyasat ke taqreeban 240 khangi Hospitals ney reyasti hukoomat ke 1500 crore rupay ke vajbat ki Adam adaigi par khidmaat ki farahmi band kar di.

Wazeer-e-sahet Etela Rajendra aur Telangana net work Hospital association ( TNHA) ke mabain baat cheet ka koi hal nahi nikal paaya. wazeer ney TNHA ke numaindon se baat cheet ke baad kaha ke vajbat sirf 600 crore rupay hain aur hukoomat fori tor par 200 crore rupay jari karegi. unhon ney kaha ke mukhtalif khidmaat ke maavazon mein izafay ke mutalbe par faisla wazeer-e-aala K Chandara Shekhar Rao se mushawarat ke baad liya jayega.

Halaank3, TNHA ney kaha ke hukoomat ko 1500 crore rupay ka baqaya ada karna hoga. Hopitals ney Aarogya shree, mulazmeen ki sahet ki scheme ( EHS ) aur sahafioun ki sehet scheme ( JHS ) ke tehat khidmaat band kardi hain. TNHA ney wazeh kiya ke woh tamam vajbat ki adaigi ke baray mein wazeh taiqun dehani tak khidmaat ko dobarah shuru nahi karenge.

Aarogyasri scheme ke tehat khangi hospitals mein ghurbat ki lakeer se neechay 80 laakh se ziyada ( BPL ) khandano ko muft sahet ki sahuliyaat faraham ki jati hain, jisay 2007 mein is waqt ke ghair munqasim Andhra Pradesh ke wazeer-e-aala YS Raj shekhar Reddy ney shuru kiya tha.

Vajbat ki Adam adaigi par net work hospitals mein khidmaat band ki gayi hain. woh is scheme ke tehat mukhtalif packages ke narkhon par nazar sani ka mutalba bhi karte rahay hain. –YTN STAFF