Tuesday, May 13, 2025
HomeLatest NewsSantoor Womens Scholarships ka elaan, 31 august darkhwast dainay ki aakhri tareekh

Santoor Womens Scholarships ka elaan, 31 august darkhwast dainay ki aakhri tareekh

Hyderabad: Santoor Womens Scholarships ke chouthay edition ke liye darkhwast dainay ki aakhri tareekh mein towsee ki gayi hai aur ab is Scholarships ke husool ke liye 31 august tak woh talibat darkhwast de sakti hain jinka talluq riyasat-e-Telangana , Andhra Pradesh aur Karnatak se ho. Santoor Womens Scholarships ki sharait ko kisi qader sakht banaya gaya hai kyunkay aisi hi talibat is Scholarships ke husool ki ahal hongi jinhon ne sarkari school aur colleges se 10th aur 12th jamaaton ka imthehaan kamyaab kiya ho aur sarkari degree college mein dakhla liya hai. Wipor consumer care ne Santoor Womens Scholarships programme ka aaghaz Wipro care ke sath AP, Telangana  aur Karnataka mein 2016 may kiya hai.

Is Scholarships ke tehat mazkoorah teeno riyasatoun mein har saal 900 talibat ko Scholarships faraham ki jati hai taakay woh apni graduation ki taleem bina kisi rukawat ke mukammal karen. jo talibat is scholarship ke liye ahal qarar di jati hain inhen har taleemi saal ke liye 24 hazaar rupaye ka maali taawun faraham kiya jata hai. Scholarships se haasil honay wali raqam ko talibat tuition fees aur deegar taleemi akhrajaat par kharch kar sakti hain. 2016 may jab yeh Scholarships shuru ki gayi tab se ab tak 2700 talibat ne is se faida uthaya hai aur apni graduations ki taleem mukammal ki hai. –YTN STAFF