Tuesday, May 13, 2025
HomeHyderabadBaghbani ke shouqeen afraad ke liye khush khabri, Necklace Road per 15...

Baghbani ke shouqeen afraad ke liye khush khabri, Necklace Road per 15 August ko 5 roza nursery Mela

Hyderabad:  Gharoun aur apartments mein baghbani ke khwahish mand afraad ke liye ek khushkhabri hai ke hyderabad ke mashhoor maqam necklace road par 15 august ko ek 5 roza nursery Mela ka aaghaz ho raha hai jis mein mein mahireen awam ko apne ghar ya flat ke mukhtasar se hissay mein baghbani ki tamam tar pehloun aur deegar tafseelaat se aagah karenge. yeh 5 roza zaraat aur baghbani ka Mela Necklace road ke peoples plaza par munaqqid kiya ja raha hai jis mein zaraat aur baghbani ki mukhtalif technics aur Asri tafseelaat se aagahi ki jayegi. is Mela mein Hindustan ke tamam maqamat se poudoun aur beejoun ki sarbarahi bhi mojood rahaygi. is melay ke douran 80 mukhtalif stalls bhi lagaye jayenge jinka talluq hyderabad ke alawa Bangalore , Pune aur deegar ilaaqoun se hoga.

Nursery business ke maahir Khalid Ahmed nay media numaindon se izhaar-e-khayaal karte hue kaha ke yeh 5 roza nursery Mela zaraat aur baghbani ke mahireen aur awam ke darmiyan ek raabtey ke liye ahem sang mil saabit hoga. yeh Mela un afraad ke liye ek sunehri mauqa hoga jo ke apne ghar, aangan aur apartment mein mojood mukhtasir jagah par baghbani ya gardening ka shouq rakhtay hon. yeh Mela un afraad ke liye kaafi ahem hoga jo kay apne ghar ke chat par zaraat aur baghbani ki khwahish rakhtay hon.

Yeh Mela un afraad ko bhi mauqa faraham karega jo ke apne ghar ke mukhtasir hissay mein apne khud ka baagh design karna chahtay hain ya phir ghizai ijnaas ki kaasht karne ka shoq rakhtay hain.

Iske alawa is melay mein nursery ke liye marketing ki tafseelaat bhi faraham ki jayengi. jo afraad apne ghar mein baagh banana chahtay hain unke liye is melay mein mukhtalif qisam ke pouday aur page bhi dastyab rahenge. is melay mein un afraad ke liye bhi dilchaspi ka poora samaan rahayga jo ke apne gharon mein phoolon ki sajawat ki dilchaspi rakhtay hain. gharoun ke androoni hissoun ke alawa berooni hisson mein bhi jo afraad phooloun ki baghbani karne ke khwahan hon unke liye bhi yeh Mela tafseelaat faraham karne ke alawa woh phoolon ke mukhtalif pouday bhi faraham karega. 5 roza yeh Mela subah 9 bajey taa raat 9 bajey tak apni khidmaat faraham karega. –YTN STAFF