Thursday, May 8, 2025
HomeHyderabadEid-ul-Adha ki namaz silsila mein traffic Police ki janib se lagaye gaye...

Eid-ul-Adha ki namaz silsila mein traffic Police ki janib se lagaye gaye traffic zawabit

Hyderabad : City police commissionaire Anjani kumar, IPS ne aaj hockey ground aur Masab tank mein, Eidgah Mir-aalam mein namaz Eid ul-adha ke silsile mein 12 August, subah 8 bajey se subah 11: 30 bajay tak , traffic zawabit ke baaray mein mutala kiya.

Puranapul, Kamatipura, Kishanbagh ki taraf se aane wali gadiyoun aur namaz ke liye Eidgah Miralam ki taraf jane gadiyoun ko subah 8 bajay se subah 11. 30 bajay tak  Bahadurpura Chowrahe ke rastay se jane ki ijazat hogi. gaadi chalanay walay gadiyoun ko parking ki jagahoun par khada karen. is muddat ke douran, aam gadiyoun ki amad wo raft ko eid gaah, Tadban ki taraf jane ki ijazat nahi hogi aur usay Bahadurpura chaurahe se kishan bagh, Kamatipura , puranaKhairtabad waghera ki taraf modh diya jayega.

Shivrampally  aur Dhanamma ki jhonpdhiyoun se anay wali aur namaz ke liye eidgah Miralam ki taraf jane wali tamam gadiyoun ko subah 8 bajay se subah 11: 30 bajay tak  Dhanama chaurahe ke rastay jane ki ijazat hogi aur woh apni gadiyaan makhsoos parking ke muqamat par khadi karen. is muddat ke douran, aam gadiyoun ke traffic ko Eidgah ki taraf jany ki ijazat nahi hogi aur usay Dhanamma topian ”X“ road par Shastripuram, nawab sahab kunta waghera ki taraf modh diya jayega.

Parking ki jaghe Yousuf parking, Mirza parking, Jaish parking, Eidgah ki ahem sadak ke samnay modern mill parking, aur four wheelerske liye Miralam flutter bed aur yadav parking mein parking faraham ki gayi hain.

Kalapathar se anay wali aur Eidgah Miralam ki taraf namaz ke liye jane wali tamam gadiyoun ki traffic ko subah 8 bajay se subah 11: 30 bajay tak  kala pathar L&O PS ke zareya jane ki ijazat hogi. is muddat ke douran, aam gadiyoun ke traffic ko Eidgah ki taraf jane ki ijazat nahi rahaygi aur usay kala pathar L&O PS par mochi colony, Bahadurpura, Shamsheer ganj aur NK Kunta parking muqamat ki taraf, bhaiya parking, modern petrol bank, BNK colony, ki taraf modh diya jayega.

subah 8 bajay se subah 11: 30 bajay tak  puranapul Khairtabad se anay wali gadiyoun ko Bahadurpura ki taraf jane nahi diya jayega aur inhen jiya guda aur city college ki taraf modh diya jayega.

Doosri taraf Shamshabad ki taraf se aaney wali gadiyoun ko Rajndra nagar aur Milardevpally se Bahadurpura ki taraf Aaram gadh junction par modh diya jayega.

Mehdipatnam se road number 1, Banjara hills ke rastay ki taraf anay walay aam traffic ko Masab tank fly over ke zareya modh diya jayega. ayodhya junction ( left turn ) Khairtabad, RTA office, Khairtabad ( left turn ) Taj krishna hotel waghera.

Road number 12 Banjara hills se masab tank ki taraf anay wali RTC buses road number 1 /12 junction taj krishna hotel ( Right turn ) RTA Khairtabad ki taraf modh di jayengi. aur NFCL Junction , panja gutta  se mehdipatnam ki taraf jany wali Buses , Masab tank se hokar jaegi. taj krishna hotel se Erum manzil colony, RTA Khairtabad, lakdi ka pul , Masab tank Fly over, mehdi patnam ki taraf modh diya jayega.

RTC Buses  lakdi ka pul  se road number 1 / 12 Banjara hills ki taraf aati hain, Masab tank, ayodhya Junction  se, Khairtabad, V V mujasma, Khairtabad RTA office ( baen baazu ) taaj krishna hotel ki taraf modh diya jayega, Masab tank fly over ke neechay se road number 1 Banjara hills ki taraf se eid ki namaz mukammal honay tak  kisi bhi Bus ki ijazat nahi hogi. road number 1 / 12 se Masab tank ki taraf anay wali aam traffic ko chintabastii road ki taraf modh diya jayega.

Nanal nagar se andhra flour mill ki taraf se anay wali aam traffic ko Balika bhavan Junction  par laxman nagar ki taraf modh diya jayega. Balika bhavan se anay wali aam traffic ko military hospital ki taraf jany ki ijazat nahi hogi aur se andhra flour mill mein Balika bhavan ya MD lines ki taraf modh diya jayega.

langar house se anay wali traffic ko military hospital ki taraf jane ki ijazat nahi hogi aur moghal ka naala ki taraf military hospital ke Eidgah ( you turn ) par modh diya jayega. –YTN STAFF