Riyadh : Saudi arab ne aindah baras duniya ke mehnge tareen ghodha doudh muqablay ka ineqad karne ka elaan kardiya. 2020 mein Saudi arab ke dar-ul-hakoomat Riyadh mein duniya ki tareekh mein pehli martaba 2 crore Amrici dollar se zayed ki maliyat ke inamaat walay ghodha doudh muqablay ka ineqad hoga. tafseelaat ke mutabiq duniya ki mehngi tareen ghodha doudh ke events ka elaan jockey club Saudi arab ke sarbarah shehzada Khalid al faisal ne kiya.
Is ghodha doudh ko Saudi cup ka naam diya gaya hai, jo aindah baras 9 feb ko Riyadh ke king Abdul Aziz race track par hoga. Saudi cup mein majmoi tor duniya bhar se 14 ghodha sawar shareek honge aur jeetnay walay ko ek crore dollar raqam di jayegi. is cup mein behtareen maqamat haasil karne walay deegar ghodha sawaron ko bhi inamaat diye jayenge. Ghodha daudh cup ki baqi ek crore dollar ki raqam pehlay, dosray, teesray, chouthay aur panchwen number par anay walay ghod sawaron mein taqseem ki jayegi.
Abhi yeh wazeh nahi hai ke duniya ki is mehngi tareen ghodha doudh mein kitni khawateen hissa lengi, taham khayaal kiya ja raha hai ke is mehngi tareen events ko dekhnay ke liye duniya bhar se ghodh sawari ki shoqeen darjanoun khawateen Saudi arab aaingi. shehzada Khalid al faisal ne kaha ke Saudi cup ke ineqad se woh ghodha doudh ke khel ko mulk mein farogh dena chahtay hain aur woh aindah saal feb may ghoda sawari ke shoqeen mard wo khawateen sameit media arkaan ka Saudi arab mein bharpoor istaqbaal karenge.
Khayaal rahay ke Saudi arab mein aindah saal honay walay cup ke inamaat ki raqam America mein honay walay mehngay tareen ghodha doudh ke muqablay Pagas world cup ki raqam se bhi ziyada hai. Florida mein har saal January mein honay walay Pagas ghodha doudh muqablay ke inaam ki raqam ek crore 60 laakh dollar hoti hai. alawa azeen Saudi cup ke inamaat ki raqam Dubai , Bartania , Japan , Germany aur Australia sameit deegar mumalik mein honay walay ghodha doudh muqablon se bhi kahin ziyada hai. Saudi arab may ghodha sawari mard vo khwatin mein eksaa tor par maqbool hai aur Shahi gharane ke afraad sameit sanati ghranon ke afraad bhi ghodh sawari karte hain. –YTN STAFF