New Delhi : Party ki sadarat se istifa day nay ke Baad Rahul Gandhi ke janasheen ka faisla karne ke liye congress working committee ke ijlaas ke daur may, congress ke mutadid kaarkunon nay hafta ke roz party head quarter ke bahar ehtajaji muzahira kiya.
Muzahireen ki rahnumai kar nay walay karkun Jagdish Sharma nay kaha ”Priyanka Gandhi ko party sarbarah banana chahiye, kyunkay unke paas party ko muttahid rakhnay ki qabiliyat hai.
Wazeh ho-ke party ki sadarat chodtay waqt Rahul Gandhi nay wazeh tor par kaha tha Gandhi khandan ke kisi bhi fard ko party sarbarah nahi banaya jayega. aur yeh bhi kaha tha ke Priyanka gandhi bhi party sadar nahi baningi. Is par Jagdish Sharma wo deegar ka kehna hai ke ”shadi ke baad Priyanka Vadra ab gandhi khandan ki nahi rahen ab woh Vadra khandan ki rukan hain.
Lok sabha intikhabaat mein party ki haar ke baad qareeb teen mahino se Congress ke saddar ka ohda khaali hai, abhi tak is ohda ke liye kayi naam samnay aachukay hain lekin Mukul Wasnik ka naam sab se agay chal raha hai. unke alawa Sushil kumar shinde mallikarjun kharge ka bhi naam chal raha hai.
Naye party sarbarah ko muntakhab karne ke liye congress working committee ka ijlaas hafta ko subah 11 bajey shuru hua. jis mein Rahul Gandhi, Sonia Gandhi, Priyanka Gandhi, sabiq wazeer-e-aazam Manmohan Singh aur party ke senior rehnuma Anand Sharma, Ghulam Nabi Azad, Jyotiraditya Scindia, Priyanka Gandhi Vadra, Sachin Pilot, Jitin Prasada, Siddharamiah wo deegar shirkat kar rahay hain.
Riyasti incharge, Riyasti sarbrahan, AICC ke mehakma Chairman, party arkaan-e-parliment se baat cheet kar nay ke liye CWC ko paanch ilaqai groupoun mein taqseem kiya gaya hai. party ke ek senior rehnuma nay bataya ke paanchoun groupoun nay apni sifarshaat paish karne ke baad itwaar ko is naam ki hatmi shakal di jayegi. –YTN STAFF