New Delhi: Hindustan aur Bartania ne apne tareekhi tijarti rishtoun ko nai bulandiyon par pohanchanay ke azaem zahir karte hue zaraat, mahi parwari, bunyadi dhancha aur khidmat ke shoba mein taawun aur mustehkam bananay par ittefaq zahir kiya hai. Hindustan – Bartania mushtarqa iqtisadi aur tijarti committee jetco ke London mein 13th ijlaas mein yeh ittafaq zahir karte hue fareeqon ne kaha ke dono mulk apni strategic iqtisadi shiraakat daari aur apne badhtay do tarfah tijarti taluqaat ki mazbooti banaye rakhenge aur iski aur ziyada taraqqi karenge.
Aada-do shumaar ke mutabiq Bartania aur Hindustan ke darmiyan tijarat mein guzishta teen barson 2015 se 2018 ke douran jumla karobar may 27 feesad izafah darj kiya gaya. dono mulkoun ka aapsi kaarobar 20.5 arab pound hogaya hai. Ashiya ke bar-aamad mein 29 feesad aur khidmat ke baraamdaat mein 24 feesad ka izafah darj kiya gaya hai. Ashiya ka kaarobar 13.3 arab pound aur khidmaat ka kaarobar 7.2 arab pound ka hogyahae.
Dono mulkoun ne kaarobar ki rukawatoun ko kam karne ke liye mushtarqa koshisho ki towsee karne ke tain bhi azm dohraya hai. Europi union se bahar honay ke elaan ke baad Bartania ne apni aazad tijarti policy banai hai aur apne tijarti halifon ke sath naye tor tareeqay ikhtiyar kar rahay hain. hindustani maeeshat ko 50 laakh crore dollars ki shakal lainay ke liye mazboot tijarti sathiyon ki talaash hain. is tarhan se dono mulk ek dosray ki zaroorat ko poora kar rahay hain.
Ijlaas se khitaab karte hue commerce aur sanat ke markazi wazeer Piyush Goel ne kaha ke Hindustan mein iqtesadi taraqqi aur dastyab khidmaat mein maali khidmaat ke shoba mein Bartania ki zaroratoun ke mutabiq taal meil banaya jasakta hai. dono mumalik ke tijarti taluqaat ko agli satah par le jaany ki koshish ki jani chahiye. dono mulkoun mein sarmaya kaari aur jiddat shoba mein taawun badh sakte hain.
Zaraye ke mutabiq Bartania jahan ek taraf Hindustan mein panchawan sab se bada beron mulk sarmaya-car hai, wahein doosri simt Hindustan bhi Bartania mein teesra sab se bada sarmaya kar hai aur woh Bartania mein ek laakh se bhi ziyada logon ko rozgaar day rahay hain. Hindustan mein rehaish gaah, smart city, railway station, pani, gas aur telecom aur tansport network jaisay ke bandargahon, behtar logistic aur saaf shafaaf tawanai jaisay shobo mein wasee sarmaya kaari par zor diya ja raha hai. Hindustan duniya mein dawaiyon ka teesra sab se bada ( pharma ) bazaar hai. yahan Aayushman Bharat Yujana nafiz ki jarahi hai, jis ke tehat 50 crore logon ko muft tibbi khidmaat muhaiyya karwai jayengi.
Dono mulk khwaraak aur mashrobat, it-tila-aat wo muwasilat technology ( ICT ) aur life science aur service par taawun badhaane par tabadlah khayaal kar rahay hain. ghair mehsool wali tijarti ruukawaton ke khatmay par mustaqil tor par tabadlah khayaal kiya ja raha hai. fareeqon ne usool wo zawabit par mabni kaseer jehti tijarti nizaam ko mustahkam karne mein aalmi tijarti tanzeem ( WTO ) ke ahem kirdar ko tasleem kiya hai aur payedar taraqqi ke hadaf ke husool ke liye azadana, munsifana aur khuli tijarat ko farogh dainay ki ahmiyat par zor diya hai.
Hindustan WTO mein Bartania ki riayaton aur azaim ki nai fehrist ki himayat mein taawun jari rakhnay par ittafaq karta hai. dono mumalik aglay saal honay walay 12th wazeer satah ki conference se pehlay aapas mein ghhor wo khouz karenge taakay mazboot do tarfah tijarti nizaam mein ahem taawun kar sakay. –YTN STAFF