Monday, April 21, 2025
HomeIndiaAyodhya Tanaza Per Supreme Court Mein 6 Augst Se Sunwayi

Ayodhya Tanaza Per Supreme Court Mein 6 Augst Se Sunwayi

New Delhi: Ayodhya ke Ram Janam bhoomi. Babri Masjid tanaza mein salisi nakaam hojane ke baad Supreme court mein is maamla ki 6 august se baqaida samaat hogi. Cheif justice Ranjan Gogoi ki sadarat wali paanch rukni aaeni bench ne kaha kay is tanaza ko nipatne ke liye shuru kiya gaya salisi ka amal nakaam raha hai aur ab is ki 6 augst se baqaida samaat ki jayegi. adalat mein peer aur jummay ko naye aur mafaad-aama se munsalik mamlaat ki samaat hoti hai, is liye is muamlay ki samaat hafta mein 3 din mangal, Chaharshambe, jummerat ko hogi. aaeni bench ke deegar arakeen judge SA Bobde, judge  D.Y. Chandrachud , judge Ashok Bhushan aur judge S Abdul Nazeer hain. Adalat-e-uzma ke sabiq judge FMI Kalif ullah , samaji karkun MR Shre rawi Shankar aur salisi mamlaat ke maahir wakeel Sri Ram pancho ki salisi committee ne kal aaeni bench ke samnay sale band lifafay mein apni report saumpi thi.

Aaeni bench ne is report ka zikar karte hue kaha ke salisi ka amal nakaam raha hai. adalat ne guzashta 18 July ko teen rukni salisi committee se kaha tha ke woh salisi amal ke nataij ke baray mein usay 31 July ya 1st  august ko mutala kare taakay woh maamla mein agay badh sakay. adalat ne salisi amal mein hui paish Raft se mutaliq report ko khufia rakhnay ki hidaayat di thi. Adalat-e-uzma ne is baras 8 March ko judge Kaleef ullah ki sadarat mein salisi ke liye teen rukni committee qaim ki thi taakay is zameeni tanaza ko bahami hum ahangi ke sath nimtaya jasakay. khayaal rahay ke is zameeni tanaza mein Allahabad high court ke 2010 ke faislay ke khilaaf adalat-e-uzma mein 18 appeal dair ki gayi hain. Allahabad high court ne is mutanazia zameen ko teen barabar hisson mein taqseem karne aur Sunni waqf board, nirmohi akhadhah aur Ram lallah ko dainee ki hidaayat di thi. –YTN STAFF