Monday, April 21, 2025
HomeIndiaAzam Khan Ke Khilaaf Karwai Ka Khadsha

Azam Khan Ke Khilaaf Karwai Ka Khadsha

New Delhi : Lok Sabha may samajwadi party ke rukan Azam Khan ke bartao ki sabhi partiyoun ney aik aawaz hokar muzammat ki aur speaker Om Birla ney jald karwai karne ki yaqeen dehani ki. kayi senior wuzra wo barsar iqtedar aur opposition  party ke arakeen ke zareya waqfa safar ke douran yeh masla uthaye jaane par om birla ney kaha mein ney aap sab ki baat suni hai. sabhi partiyon ke leadron ke sath ijlaas talabb karte hue is par jald hi faisla kiya jayega. speaker ney aewaan ki maiz par zurori kaghzat rakhwane ke baad jaise hi waqfa sifar ki karwai shuru ki to barsar Iqtidaar aur oppostion ke kayi arakeen apni apni jagahoun par khadhe hogaye. Speaker ney BJP ki sanghmitra maurya ko yeh masla uthane diya. sanghmitra maurya ney kaha ke jumaraat ko speaker ki nishist par pohanchi Rama devi ke baray mein jo tabsarah kiya gaya woh na shaista hai. unhon ney kaha ke Khan ko unke tabsaray ke liye maffi maangni hogi.

Iske baad speaker ney ek ek  karkay kayi arakeen ko is mauzo par apni raye dainay ki ijazat di aur kaha ke jo bhi chahay is maslay par bolsakta hai. barsar iqtedar party ke kayi arakeen ney Khan ko mo-attal karne ka bhi mutalba kiya. kayi arakeen aur wuzara ne speaker se sakht se sakht karwai karne ka mutalba kiya taakay mustaqbil mein koi aur is terhan ka bartao nah kar sakay. khawateen wo atfaal ke Falah wo behbood ki wazeer smiriti irani ney kaha ke aaj tak parliment mein kisi ney is tarhan ki harkat nahi ki hai. poooray mulk ney dekha ke kis tarhan poora ewaan sharmsaar hua. unhon ney kaha hum khamosh tamashaayi banay nahi reh sakte. Rukan-e-parliment honay ke nate hamein miley khusoosi ikhtiyar ka ghalat istemaal nahi hona chahiye.

Qanoon aur insaaf ke wazeer Ravi Shankar prasad ney kaha ke speaker ki nishist par Barajman rukan ke liye jis tarhan ki zabaan ka istemaal kiya gaya woh sharmindagi se bhara hai. Aaj mulk ki jamhoriat aewaan ki taraf dekh rahi hai. sakht se sakht karwai honi chahiye. is muamlay mein koi samjhota nahi kya jana chahiye. parlimani umoor ke wazeer Prahlad joshi ney arakeen se ewaan ka miyaar barqarar rakhnay ki appeal ki aur kaha ke baghair kisi agar magar ke is harkat ki muzammat ki jani chahiye. ewaan ko speaker par poora bharosa hai aur sath hi speaker se aisi karwai karne ki appeal hai jo ek misaal ban sakay. –YTN STAFF