Hyderabad : Social media ki moujoodgi ne aam insanoun aur khaas kar nojawanoun ko apni aawaz aur khayalat dosaron tak pohanchanay ki ek aasan raah hamwar kardi hai jabkay TikTok ki maqboliat ne to is mein chaar chaand laga diye hain. nojuawan dostoun ke group ki janib se kisi hotel ya tafrehi maqamat ki tafseelaat awam tak pohanchanay ke liye videos ka tayyar karna ek aam rujhan hochuka hai aur maloomat ki gharz se videos tayyar karna aur usay social media par shaya karna aaj ek noujawanoun ka maqbool mashgala hai.
Maloomat ki gharz aur awam tak shaoor beydaari pohanchanay ke liye videos ka banana behtar amal ho sakta hai lekin videos ko bananay ke douran qanooni pehluon ka khayaal rakhna bhi zurori hai warna yeh khadshaat badh jatay hain ke jo video aap kisi hotel maqam ya shakhs ke talluq se bana rahay hain woh aap ke khilaaf qanooni karwai bhi kar sakta hai.
Hyderabadi noujawanoun mein chunkay mukhtalif hotels mein lazeez hyderabadi khaano se lutaf andoz honay ka ek mizaaj hai aur woh doston ke sath kisi hotel mein khana khanay ke baad is ki tareef aur nuqta cheeni mein videos ki tayari karte hain aur se social media par shaya kardete hain lekin baaz auqaat yahi harkat un ke khilaaf qanoon ka shikanja kasnay ke liye saboot ke tor par paish kiya ja sakta hai aisa hi ek waqia hyderabad ki mashhoor hotel Pista house ke sath bhi paish aa raha hai.
Pista house group ke director ne hyderabad central crime station ( CCS) mein ek video ke khilaaf shikayat darj karwai hai kyunkay video mein pista house ke khilaaf yeh paegham dainay ki koshish ki gayi hai ke pista house ki janib se faraham ki jaaney wali ghizai ashiya miyari nahi hain.
CCS ke mutabiq Pista house group ke director MA Moosa ne ek shikayat darj karwai hai jis mein unhon ne police se mutalba kiya hai ke woh social media per gasht karne walay is video aur usay bananay walon ke khilaaf iqdamaat kere kyunkay is video mein dekhaya gaya hai ke kis tarhan pista house ki janib se faraham ki jaaney wali ashiya ghair miyari hain.
Pista house ke director ne police se yeh bhi mutalba kiya hai ke video bananay waloun ke khilaaf karwai ki jaye is ke alawa video tayyar karnay waloun ke khilaaf hattak izzat ka muqadma bhi darj kiye jaaney ki khabar bhi hai. pista house ki director MA Moosa ne is zimn mein city commissionaire police Anjhani kumar aur additional DGP shikha Goel se bhi mulaqaat ki hai.
pista house ka yeh maamla nojawanon ke liye khawab ghaflat se jaagne ke liye kaafi hai jo ke mukhtalif tafrehi muqamat aur hotles mein videos bana kar usay social media par viral karte hain jis se na sirf kisi hotel ya hotel mein mojood afraad ki khangi zindagi ki raazdari se khilvad hota hai jis se unke khilaaf qanooni karwai ka khadsha bhi rehta hai.
Haliya dinoun mein bhi ek aisa waqia paish aaya hai jo ke ICC Cricket World Cup ke douran hindustani tennis star Saniya Mirza ke mutaliq tha. world cup mein hindustan ke khilaaf honay walay muqaabla ki shikast ke baad Pakistani team ke liye yeh video ek naya tanaza saabit hua tha, jahan kisi ne huqqa parlour mein Saniya Mirza aur unke Pakistani shohar Shoiab malik ke hamrah betay Izhan ki mojoodgi ka ek video viral kiya tha jis par ek hungama ghara hua tha. kisi bhi awaami maqam par video rerecording ke waqt qanooni rahnumai ka khayaal rakhna zurori hai taakay na sirf kisi ki khangi zindagi mein mudakhlat se khud ko doo rakha jaye balkay tanaza honay ke baad qanooni pechidgiyoun se khud ko mehfooz rakha jasakay. –YTN STAFF