Lucknow : Uttar pradesh public service commission ( UPSC) ke Judicial services ( Soul judge junior division ) exam 2018 ke nataij ka elaan kar diya gaya hai. Lucknow ki Tiwari sir-e-fehrist rahen hain. is martaba muslim umidwaroun nay shandaar kardgi ka muzahira kiya hai. PCSJ mein is martaba 39 musalmanoun nay imthehaan mein kamyabi haasil ki hai, un mein 19 khawateen shaamil hain.
Muslim umeedwaroun mein Shahnawaz Siddiqui sir-e-fehrist hain unhoun nay imthehaan mein 11th rank haasil ki hai. jabkay ladkiyon mein hina kusar ko 96th rank haasil hui hai. UPPSC ki taraf se jari press release ke mutabiq yeh imthehaan 16 decemeber 2018 ko munaqqid hua tha aur is mein jumla 64691 umeed waar shareek hue they. imthehaan ka nateeja 5 January 2019 ko jari hua, jis mein 6041 umeedwaron ko kamyaab qarar diya gaya. prelems mein kamyaab honay walay umeedwaron ka imthehaan ( Main exam ) Allahbad aur lucknow ke marakaz par 30, 31 January aur 1st feb ko munaqqid hua. Main exam mein jumla 5795 umeed waar shareek hue. 13 June 2019 ko mean exam ka nateejah jari kiya gaya jis mein 1847 umeedwaron ko interview ke liye kamyaab qarar diya gaya.
Interview 21 June 2019 ko liya gaya jis mein 1823 umeed waar shaamil hue jabkay 24 umeed waar ghair haazir rahay. interview ke baad 61 umeedwaron ko kamyaab qarar diya gaya, jin mein se 38 umeed waar musalman hain. wazeh rahay ke guzashta kuch barson se musalmanoon mein jyodshri ke imthehaan ki taraf rujhan badha hai jis ke misbet nataij ab samnay aa rahay hain. kamyaab honay walay umeedwaron mein Mehnaz Khan bhi shaamil hain jin ki shadi ek gaaoun mein hui hai jahan net work aur bijli ki diqat ka saamna karna padta hai is ke bawajood unhon naay kamyabi haasil ki. Meerut ke farhan naay bhi kaafi jadd o jehed ke baad yeh kamyabi haasil ki hai. Mao ki samreen fatima aur Saharanpur ki Nesa Ali ki kahani bhi hosla bakhash hai. –YTN STAFF