Saturday, May 10, 2025
HomeOthersBusinessHyderabad mein Hindustaan ka pehla Security cluster

Hyderabad mein Hindustaan ka pehla Security cluster

Maahide par rukan companian aur Hyderabad-Security Foundetion ke idaray aur HSD 22nd  May ko dastakhat karen ge.

Hyderabad. Hyderabad Security Foundetion ( HSF) 22 May ko shehar mein Hindustaan ke pehlay Security cluster ka iftitah kere ga. cyber Security par aik’ programme of corporation’ par Mayor Heig, o sarbarah Heig Security Delta ( HSD) par dastakhat karen ge. Secretary Information Technology Mr. Jaish Ranjan ney bataya ke wafad mein Neitherlands ke Cyber Security Companies bhi shaamil hain. is dora ka maqsad Cyber Security shoba mein Hind-Dutch taawun ko farogh aur insidaad e dehshat gardi par tavajja ko mustahkam banana aur maloomat ka tabadlah karna hai. Maahide par rukan companian aur Hyderabad-Security Foundetion ke idaray aur HSD 22nd  May ko dastakhat karen ge. khangi companiyon, sarkari idaron aur strts up aur national law school ( NALSAR ) ke baais yahan Hyderabad mein aik achcha Eco Systme hai. hum hamaray –apne liye aik Cyber Security Cluster ke farogh, Cyber Security Courses ke nisaab ki tadween aur Cyber Security ke liye qanooni frame work tayyar karne HSD se madad le rahay hain jis ka Hindustaan mein fuqdaan hai. Cluster ke aaghaz se tawaqqa hai ke Hyderabad baday paimana par aalmi Cyber Security Eco System mein daakhil hoga. hamara maqsad 35 billion dollar ki Cyber Security Market mein bada hissa haasil karna hai.