New Delhi: Mahatma Gandhi ki 150th saalgirah ke mauqa par mulk ke har parlimani halqay mein 2 october se lekar 31 october tak 150 kilometer ki padh yatra BJP munaqqid karegi jin mein iske rukan-e-parliment hissa len aur woh shajrkari karne ke sath hi azaadi ki ladai mein babaye qoum ke taawun ka zikar karenge.
BJP ki parlimani party ke ijlaas mein wazeer-e-azam Narendra Modi ne arkaan-e-parliment se appeal ki hai ke woh bapu ko khiraaje aqeedat dainay walay is programme mein poooray dil se hissa len aur is ki kamyabi ko yakeeni banayen. parlimani umoor ke vazeer Prahlad joshi ne ijlaas ke baad media numaindon se kaha ke wazeer-e-azam ne kaha ke Mahatma Gandhi ki 150th saalgirah ko badey paemanay par manaaya jayega.
Mulk mein ek badey programme ka ineqad kiya jayega. Har Parlimani halqay mein gandhi Jayanti manayi jayegi. mulk mein ek badey programme ka ineqad kiya jayega. unhon ne kaha ke har parlimani halqay mein gandhi jayanti ko 2 october se sardar Vallabhai bhai patel ki Jayanti october ke darmiyan 150 kilometer ki padh yatra hogi. Har din parlimani halqay mein 15 se 20 group banaye jayenge aur woh har roz taqreeban 15 kilometer tak Padh yatra karenge aur har booth ka ahata kiya jayega.
Joshi ne kaha ke Padh yatra mein party ke muqami ohday daaron, rukan-e-assembly, councilor deegar afraad bhi hissa lenge aur aur rukan-e-parliment kam az kam ek din zaroor shaamil honge. unhoun ne kaha ke party mein is zabardast programme par amal draamdgi ke liye ek badi committee bhi banaygi. chunkay mulk ki azaadi ki 75th saalgirah bhi anay wali hai is liye is padh yatra ke douran azaadi ki ladai, Mahatma Gandhi aur deegar Mujahid azaadi ke taawun ka zikar kiya jayega.
Is douran har booth par kam az kam paanch darakht lagaye jayenge. Ek sawal ke jawab mein joshi ne kaha kay parliment ka haliya session behtar andaaz mein chal raha hai aur aadhar sameit kayi ahem bill baghair kisi rukawat ke paas hogaye hain. is ke liye woh hukoomat ki janib se oppostion sameit sabhi partiyon se izhare tashakkur karte hain. –YTN STAFF