Congress Ki Nazar Mein Budget Nayi Bottle Mein Purani Sharaab
New Delhi: Wazeer-e-Azam Narendra Modi ne aam budget ko mulk ke awam ke liye umedoun, umangoun aur etemad par mubni qarar dete hue kaha ke is se ghareeb ko bil ( taaqat ) aur nojawanoun ko behtar kal ( mustaqbil ) mileyga.
Wazeer khazana Nirmala sitharaman ke zareya 2019-20 ka budget lok sabha mein pesh karne ke baad apne pehlay rad-e-amal mein Modi ne kaha ke budget umedoun aur umangoun se labraiz hai aur isse yeh etemad paeda hota hai ke mulk ki simt aur raftaar durust hai. budget ko 21st sadi ki umangoun ke mutabiq qarar dete hue unhon ne yeh kaha ke yeh awam ke khwaboun ko poora karne ka rasta hamwar karega.
Modi ne kaha ke hukoomat ghareeb, kisaan, dalit, pasmandah, mahroom, istehsal zada tabqaat ko ba-ikhtiyar bananay ke liye qadam utharahi hai. ab aglay paanch barson mein yeh ba-ikhtiyar inhen mulk ki taraqqi ka power house banayega. mulk ki maeeshat ko paanch trilion dollars tak le janay ke khawab ko poora karne ki tawanai isi power house se mileygi.
Wazeer-e-Azam ne kaha ke budget iltezamat mein mulk ke zarayi shoba ki kaya plate karne ka road map hai. is se sanati shobo ko istehkaam mileyga aur khawateen ki shiraakat badhaygi. budget mein tax nizaam ko sahal aur infrastructure ko jadeed bananay par bhi zor diya gaya hai. budget se middle classe ko taraqqi mileygi aur mulk mein taraqqi ki raftaar ko taizi haasil hogi. unhon ne mazeed kaha ke mukhtasir yeh ke is budget se ghareeboun ko bil mileyga aur nojawanoun ko behtar kal mileyga.
Oppostion party congress ne wazeer-e-kharja Nirmala sitharaman ke zareya pesh kardah budget ko “nai bottle mein purani sharaab” qarar diya aur kaha ke is mein kuch bhi naya nahi hai. lok sabha mein party ke leader Adhir Ranjan Chowdhury ne media se baat cheet karte hue kaha uss mein kuch bhi naya nahi hai. purani baton ko dohraya gaya hai. yeh nayi bottle mein purani sharaab hai. Adhir Ranjan Chowdhury ne kaha ke is budget mein bigadti hui maeeshat ko durust karne ke liye kuch bhi pehal nahi ki gayi hai. Congress ke senior rehnuma moti laal vohra ne kaha ke is budget mein aam aadmi ke liye kuch bhi nahi hai. –YTN STAFF