Hyderabad : Hindustan mein barsar-iqtedar BJP hukoomat ke janib se kale dhan ke khilaaf ki jaaney wali bayan baziyoun ke baad lagta hai ke kala dhan jama karne wale aur bhi chowkanna ho chukay hain kyunkay hindustani amir-tarin taajiroun aur deegar afraad ki janib se Swiss bank mein jama ki jaaney wali ruquamat mein 2018 mein kami record ki gayi hai. BJP ne hukoomat bhalay hi kale dhan par qabu panay ke liye koi mo-asar iqdaam nahi kiya hai lekin kale dhan jama karne wale afraad ne mustaqbil ke khadshaat aur khatraat ko samajte hue Swiss bank mein apni janib se jama ki jaaney wali ruquamat ko kam kar diya gaya hai.
Hindustaniyoun ki janib se Swiss bank mein jama ki jaaney wali ruquamat mein 2018 ke douran 6 feesad kami aayi hai kyunkay guzashta saal ke douran Swiss bank mein Hindustaniyoun ki janib se sirf aur sirf 955 million Swiss francs hi jama kiye gaye jo ke hindustani rupiya ke aitbaar se 6757 crore hotay hain. Swiss bank ki janib se jari kardah tafseelaat aur adad wo shumaar mein yeh baat wazeh hochuki hai ke 2018 ke douran Hindustaniyoun ki janib se bank mein jama ki jaaney wali ruquamat mein mein qabil-e-zikar kami dekhi gayi hai. Swiss bank mein guzashta saal hindustani afraad ki janib se jama ki jaaney wali jayidadon mein kami ke alawa woh deegar mumalik ke afraad ki janib se bhi is bank mein jama honay wali ruquamat mein kami hui hai .
Swiss bank mein Hindustaniyoun ke alawa duniya ke deegar mumalik ke afraad ki janib se jama ki jaaney wali ruquamat mein bhi taqreeban 4 feesad kami aayi hai lekin is ke bawajood 2018 mein Swiss bank mein deegar mumalik ki janib se 1.4 trilion currency jama ki gayi hai jo ke hindustani rupiya ke aitbaar se 99 laakh crore hotay hain yeh adad wo shumaar ziyuruq se talluq rakhnay wale ne central bank authority of Switzerland ki janib se jari ki gayi hain. Hindustan aur Switzerland ki hukoomaton ke darmiyan jo bank sar garmiyoun ke liye tareeqa car moujood hain usay bank for international settlements locational banking statistics kaha jata hai aur is ke zariye Hindustan ke taajiron ki janib se Switzerland ke bankon mein mein sarkari adaad wo shumaar ke aitbaar se jama ki jaaney wali ruquamat ki jo tafseelaat jari ki gayi hain is mein bhi kami ka inkishaaf kiya gaya hai aur is mein bhi 11 feesad tak ki kami aayi hai .
Swiss bank mein hindustani clients ki janib se moujood accounts aur is mein jama kiye jaaney wale paise fund aur deegar dastawizaat ke khusoos mein SNB ne jo tafseelaat jari ki gayi hai is mein Hindustan aur Switzerland ki hukoomaton ki janib se faraham ki jaaney wali tafseelaat mein 11 feesad kami jabkay ghair sarkari adaad wo shumaar mein 4 feesad kami ka izhaar kiya gaya hai. alawa azeen Hindustan mein moujood Swiss bank ke branches mein jo funds aur deegar ruqumat jama ki gayi hain iski tafseelaat bhi manzar-e-aam par paish ki gayi. SNB ke ohdedaron ki janib se hindustani aur NRI’s ki janib se Swiss bankon mein jo paise jama kiye gaye hain un mein un paison ki tafseelaat shaamil nahi ki gayi hain jo ke Hindustaniyoun ne deegar mumalik ki janib se yahan jama kiye hain .
Hindustaniyoun aur NRI’s ki janib se Swiss bank mein paise jama karne ka jo rujhan ko guzashta do dahoun ke darmiyan dekha gaya hai is mein pehli martaba maali saal yani 2018 mein kami record ki gayi hai jabkay aakhri martaba 1995 mein kami record ki gayi thi. Swiss bank ki janib se 2018 mein Hindustaniyoun ki janib se jama ki jaaney wali ruquamat mein jahan kami ka inkishaaf kiya gaya hai wahein agar guzashta saal 2017 mein Hindustaniyoun ki Swiss bank mein jama ki jaaney wali ruquamat ka mawazna kiya jaye to yeh nateeja ba aasani akhaz kiya ja sakta hai ke hukoomat ki kale dhan ke khilaaf sare-aam sirf bayan baziyon se kala dhan to Hindustan nahi aaya hai balkay kala dhan wale zaroor khwab ghaflat se jaag gaye hain. yahan is baat ka tazkara bhi ahem hai ke guzashta saal congress ke sadar Rahul gandhi ne Swiss bankon mein hindustani ruquamat mein honay wale 50 jama feesad izafah par wazeer-e-azam Narnedra Modi ko tanz wo tanqeed ka nishana banaya tha aur ilzaam aed kiya tha ke wazeer-e-azam keh rahay hain ke Hindustaniyoun ki taraf se jama ki jaaney wali ruquamat mein yeh 50% izafah safaid dhan hai aur koi kala dhan nahi hai.
Rahul gandhi ne Swiss bankon mein Hindustaniyoun ki ruquamat mein izafah se mutaliq ek news report munsalik karte hue tweet kiya tha ke 2014 mein Modi ne kaha tha ke Swiss bankon mein jama shuda sara kala dhan woh mulk wapas laynge aur har ek hindustani ke bank khatay mein 15 laakh rupiye jama karayenge. 2016 mein Modi ne kaha tha ke note bandi Hindustan may kale dhan ke rok ka ilaaj karegi. 2018 mein modi ne kaha ke Swiss bankon mein Hindustaniyoun ki taraf se jama karwai jaaney wali ruquamat mein 50% izafah safaid dhan hai. Swiss bankon mein koi kala dhan nahi hai .
Swiss bankon mein Hindustaniyoun ki taraf se jama ki jaaney wali ruquamat mein guzashta teen saal ke douran kami ke rujhan ke baad 2017 ke douran 50% yani taqreeban 1.01 arab swiss francs ( 7000 crore rupiye ) ka izafah hua. congress ne kale dhan par qabu panay se mutaliq wazeer-e-azam aur unki hukoomat ke davoun ki bhi mazammat ki aur kaha ke UPA hukoomat ke douran Swiss bankon mein Hindustaniyoun ki taraf se rakhai jaaney wali ruquamat mein kami hui thi aur modi hukoomat mein 50% izafah hua hai. qissa mukhtasir ke kale dhan par hukoomat sirf bayan bazyan karti rahi to doosri janib kale dhan ke malikon ne apna dhan ab Swiss bank mein bhi jama karna chodh diya hai. hukoomat sirf shor machati rahi aur kale dhan wale apna kaam kargaye. –YTN STAFF