Monday, April 21, 2025
HomeLatest NewsFederer ke wimbledon mein 20 saal, 2019 ahmiyat ka haamil

Federer ke wimbledon mein 20 saal, 2019 ahmiyat ka haamil

Paris : Aaj se 20 saal qabal Roger Federer ney wimbledon  Career ka aaghaz kiya tha lehaza 1st  July se shuru honay walay season ke teesray grand slam wimbledon  mein phir ek martaba Federer par tavajja markooz hogi kyunkay woh yahan na sirf grand slam khitaab haasil karne walay sab se muamar tareen champion honge balkay record nawan khitaab bhi haasil kar saktay hain. Federer jo kay August mein 38 baras ke hojaienge, woh pehlay hi 2017 may 35 baras ki Umar mein wimbledon  khitaab haasil karte hue yahan grand slam champion bannay walon ki fehrist mein muamar tareen khiladi ka record darj kardiya hai.

Australia ke Ken Rosewall jinhon ney 1972 jab  Australian open khitaab haasil kiya tha, to unki Umar 37 baras thi, ab Federer ke paas yeh mauqa hai ke woh Ken Rosewall ka record bhi todh den. wimbledon  ke mutaliq izhaar-e-khayaal karte hue Federer ney kaha ke mujhe yahan tennis khelte hue kaafi khushi mehsoos hoti hai, kyunkay is maidan se meri Khushgawar yaden wabista honay ke alawa mere tamam heroes ney yahin khitabat haasil kiye hain. 20 martaba ke grand slam champion ney mazeed kaha ke jab bhi mein yahan wapas aata hai to mein yahan apne heroes ki tarha muzahirey karne ki koshish karta hoon .

2017 ke final mein unhon ney Mourn Selech ko shikast dete hue khitaab haasil kiya tha jabkay pehli martaba unhon ney yahan 2003 may khitaab haasil kiya tha jis ke baad 2004, 2005, 2006, 2007 aur 2009 mein khitabat haasil kiye they. 2013 may inhen haeran kan tor par dosray hi marhalay mein Ukrain ke Serji Stakoski ke khilaaf shikast bardasht karni padhi thi. Federer ko wimbledon  ke liye pasandeeda khiladi tasawwur kiya ja raha hai kyunkay unhon ney guzashta itwaar ”Hall open khitaba 10th martaba haasil kiya jabkay unke sath difai chmpin Novick aur Rafael Nadal khitaab ke liye mazboot davedaron mein shaamil hain .

-YTN STAFF