Monday, April 21, 2025
HomeIndiaHindustan padosi Mulk Pakistan se Muzakeraat nahi kar raha

Hindustan padosi Mulk Pakistan se Muzakeraat nahi kar raha

New Delhi: Hindustan ney Pakistan ki un media reports ki tardeed ki hai jin mein kaha gaya hai ke Hindustan Pakistan ke sath baat cheet shuru karne ke liye tayyar hai. Wizarat kharja ke tarjuman Ravees Kumar ney Pakistani media reports ke baare mein pouchye janay par un reports ko mukammal tor par be bunyaad qarar diya. Unhon ney kaha ke safarti riwayaat ke mutabiq Wazeer e Azam Narendra Modi aur Wazeer kharja Dr S Jaishankar ney Pakistan ke Wazeer e Azam Imran Khan aur Wazeer e Kharja Shah Mahmood Qureshi ki janib se milnay walay mubarakbaad ke paighamaat ka jawab diya tha. Apne paighamaat mein Modi aur S Jaishankar ney kaha tha ke Hindustan, Pakistan sameit apne tamam padosion se aam aur mukammal taawun ka taluqaat chahta hai.

Kumar ney kaha ke Wazeer e Azam ney apne pegham mein kaha tha ke is ke liye yeh bohat ahem hai ke aetmaad o bharosa ka aik mahol banaya jaye jo dehshat gardi, tashadud aur badniyati se azad ho. Wazeer e Kharja ney bhi dehshatgardi aur tashadud ke saaye se azad aik sazgaar mahol banaye janey ki zaroorat par zor diya tha. Pakistan ke akhbar mein shaya aik report mein kaha gaya ke Hindustan janoobi Asia khittay mein aman aur khushhali ke liye Pakistan aur deegar ilaqai Mumalik ke sath baat karne ko tayyar hai. Hindustani qayadat ney kaha hai ke baat cheet shuru karne ke sath sath dehshatgardi ke khaatmey par khusoosi tavajja markooz rahay gi.

Kumar ney kaha ke yeh report mukammal tor par ghalat hai. Wazeer e Azam aur Wazeer e Kharja ney mubarakbad paighamaat ka jawab safarti riwayaat ke mutabiq diya tha. Yaad rahay ke Pakistan ney is se qabal kaha tha ke Hindustan ney is ke sath baat cheet ki khwahish ka izhaar kya hai. Pakistan mein media reports mein Daftar e Kharja ke zaraye ke hawala se yeh ittila di gayi hai. Is ke mutabiq Hindustani Wazeer e Azam Narendra Modi ney Pakistani Wazeer e Azam Imran Khan aur Hindustani Wazeer e Kharja S Jaishankar ney Wazeer e  Kharja Shah Mahmood Qureshi ko is silsila mein maktoob likha hai. Qabal azeen Imran Khan ney Modi ke dobarah Iqtidaar mein anay par unhe tehrir kardah mubarakbad ke khat mein dono Mumalik ke darmiyan baat cheet ki khwahish zahir ki thi. Unhon ney Jammu aur Kashmir tanaza aur dehshatgardi sameit mukhtalif masail par baat cheet ki peshkash ki thi.