Saturday, May 10, 2025
HomeSliderHind-Pak World Cup Ke Sab Se Bade Muqablay Par Nazrein

Hind-Pak World Cup Ke Sab Se Bade Muqablay Par Nazrein

Old Traford : ICC World cup  2019 mein jis muqablay ka dunyae cricket ko be-chaeni intezaar hai woh kal Hindustan aur Pakistan ke darmiyan  ko old Traford  mein hoga aur yeh kehna ghalat nahi ke yeh dunyae cricket ka sab se bada muqaabla hai. dono Teams is muqablay mein kamyabi ke liye pur-azm hain halaanke World cup  ki tareekh mein Hindustan ne hamesha hi Pakistan ko shikast di hai. Hindustan aur Pakistan dono hi teamon ke paas aisay khiladi mojood hain jo match ka pansa palatnay ki salahiyat rakhtay hain. hindustani team ki qayadat duniya ke nmbrayk batsman Virat kohli kar rahay hain to bowling shoba mein qaumi team ko duniya ke number aik Bowler Jasprith Bumrah aur Bhuvnewswar kumar jaisay Bowlers dastiyab hain to Pakistan ke paas  form may  Mohammad Aamir aur Wahab Riaz moujood hain .

Mohammad Aamir ne jis tarhan Australia ke khilaaf 5 wickten haasil ki hain is Pakistan ke khaima ke hauslay buland hain. Virat kohli jo ek behtareen batsman hain teen martaba Mohammad Aamir ke samnay aeye aur teeno martaba unka hi shikaar hue, yahi wajah hai ke woh Aamir ko aalmi miyaar ka Bowler bhi  qarar day chuke hain. batting mein Hindustan ke paas behtareen opener Rohit sharmaa, KL Rahul aur MS dhoni ke alawa Hardik Pandya jayse batsman moujood hain to doosri janib Pakistan ke paas bhi Babar Azam , Shoiab malik aur Mohammad Hafeez hain unke alawa Career ki pehli century Hindustan ke khilaaf Score walay Fakhr Zaman bhi team ka hissa hain. Shoiab malik ne is World cup  mein ab tak koi khatir khuwa karkardagi to nahi dikhayi lekin Hindustan ke khilaaf unka record bohat acha hai .

Hindustan ke liye shekhar Dhawan ke zakhmi hokar muqablay se bahar honay ke baad Rahul ko opener bananay ke alawa number 4 par Vijay Shankar ya dinesh kartik ke intikhab ke alawa Spinners ki jodi Kuldeep Yadav aur Yuzvendra chahal ke sath Ravinder Jadeja ke intikhab ka masla bhi darpaish hai. doosri janib is match mein Australia ke khilaaf Aram karne walay shadaab Khan ko khilaye jaaney ka imkaan hai. sath hi umeed hai ke team chaar fast Bowlers ke sath hi Pakistani team maidan mein utregi. World cup  matches Hindustan ko Pakistan par hamesha bartari haal rahi hai. ab tak dono Teams world cup mein 6 martaba mad-e-muqabil ayen aur tamam matches mein hindustani team kamyaab rahi.

Hindustan aur Pakistan ka World cup mein sab se pehla muqaabla 4 March 1992 ko sydney cricket  mein hua jis mein Pakistan ko Hindustan ne 41 runs se shikast di. doosri martaba 1996 ke World cup  mein banglore ke ground mein Hindustan ne Pakistan ko 39 runs se shikast di. 1999 ke World cup  mein teesri martaba 47 runs se Hindustan kamyaab raha. chowthi martaba Hindustan 6 wicketon se match jeet gaya. panchwin martaba hindustan Pakistan ko 2011 ke World cup  mein 29 runs se shikast di. chouthi martaba 2015 ke World cup  mein Hindustan ne ba aasani 76 runs se Pakistan ko zair kya .

Doosri janib World cup  se hat kar ODI matches ka record dekha jaye to Pakistan ko Hindustan par wazay bartari haasil hai ab tak dono teamon ne 131 matches khailay hain 74 martaba Pakistan ne Hindustan ko zair kiya hai, 56 martaba Hindustan ne kamyabi haasil ki hai jabkay ek match baghair kisi nateeja ke khatam hua. old Traford  mein is se pehlay dono Teams is maidan mein ek hi martaba aamnay samnay aaye  1999 ke Cricket World cup  mein Hindustan ne Pakistan ko 47 runs se shikast di thi. kal khele jaaney walay muqablay mein phir ek martaba kohli ba muqabla Aamir awaami tawajah ka markaz honge . –YTN STAFF