Tokyo : America aur Iran ke darmiyan kasheedgi ko kam karne ke liye doura Tehran par puhanche japani Wazeer-eAzam shinzo abe nay irani rehnuma Ayat ullah Ali Khamna se mulaqaat ki. is mulaqaat mein irani sadar aur dono mumalik ke Ala hukkaam shareek they jis mein wazeer-e-azam shinzo abe aur Khamna aayi nay do tarfah taluqaat, ilaqai sorat-e-haal aur mukhtalif aalmi umoor par tabadlah khayaal kiya.
Irani leader nay aik tweet mein dono rehnumaoun ki mulaqaat ki ek tasweer shaya ki gayi hai. Japan ke Wazeer-e-Azam shinzo abe nay khabardar kiya hai ke mashriq wasti mein kasheedgi barqarar rahi to jung ke khatraat badh sakte hain. japani Wazeer-e-Azam America aur Iran ke darmiyan jari kasheedgi ke khatmay ki koshisho ke silsilay mein tehran puhanche they.
Japan aur Iran is saal sarkari tor par sifarti taluqaat ki 90th saalgirah mana rahay hain. yeh dora is liye bhi ahem hai ke yeh Amrici sadar Donald Turmp ke Japan ke sarkari doray ke foran baad shuru kiya gaya hai. America aur Iran ke darmiyan guzashta saal kasheedgi is waqt badhna shuru hui jab sadar Trump nay is moahida ko mansookh kar diya jis mein Iran johri programme ko roknay ke liye razamand ho gaya tha .
Iske baad se America naay tehran par sakht iqtisadi pabandiyan lagai hain aur khaleej mein fouji mojoodgi badha di hai. 2015 mein Iran naay iqtisadi pabandiyan uthane ke badlay apne johri programme ko mehdood karne par Raza mandi zaher ki thi. yeh moahida Obama intizamia nay kiya tha lekin guzashta saal Trump intizamia nay is ko mansookh kar diya .
America nay iske baad ek tarfa tor par Iran par pabandiyan aed kar dein jabkay 2015 ke muahiday mein hissa lainay walay deegar mumalik ( Europi union, roos, aur china ) ki abhi bhi koshish hai ke moahida qaim rahay. iqtisadi pabandion ke radِ-e-amal ke tor par guzashta mah Iran naay elaan kiya tha ke woh muahiday ki kuch khilaaf warzi kere ga. AEIE nay kaha ke Iran nay afzodah uranium ki pedawar mein izafah kar diya hai taham yeh wazeh nahi hai ke woh 2015 ki tey shuda hadd tak kab puhanchega.
Trump nay America ki sifarat kaari ko iske baaz qareebi itihadiyon se tassadum ke modh par laa khada kiya hai. Tokyo kabhi bhi Iran ke sath muahiday ka hissa nahi raha lekin is ka yeh maqsad nahi ke woh is se mutasir nahi hai. Japan Iran se tail daraamad kiya karta tha. taaza Amrici iqtisadi pabandion ke baad is naay Washington ke dabao ke tehat Iran se daraamad band kar di. Tokyo temple university ke director of asian Studies professor Jeff kingston ke Mutabiq Japan 2015 ke moahida ki himayat karta hai aur is baat se naraaz hai ke America nay is se haath khincha hai aur iske khayaal mein waqai yeh ek badi ghalti hai lekin yeh maamla is ke bas mein nahi hai, is liye jaisay hi America naay pabandiyan lagayen to is mein kuch haerat ki baat nahi ke Japan nay bhi wohi kya. abhi Japan irani tail ke baghair bhi guzaraa kar sakta hai lekin mashriqi wasti mein koi bhi ladai tail ki qeematon mein izafah kar daygi aur Japan par is ka kaafi asar padega . –YTN STAFF