Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaKathua Ismat Rezi Ke Mulzimin Ke Wukala Faisla Aane...

Kathua Ismat Rezi Ke Mulzimin Ke Wukala Faisla Aane Se Pehlay Hi Pareshan

Srinagar : Kathua  Ismat daari wo qatal muqadma ke mulzimaan ke  wukala ko  shayad is baat ki andaza hogaya hai ke is muqadma ke baday mein 10 June ko aane wala faisla mutasirah bachi ke haq mein aur mulzimaan ke khilaaf hi anay wala hai kyunkay jahan ek taraf yeh wukala abhi bhi is muqadma mein CBI ke zareya tehqiqaat ki maang kar rahay hain wahein is muqadma ko firqa waranah rang day isko firqa parasti ke sath jodnay ki sar toad koshishen kar rahay hain. mulzimoun mein se ek mulzim ke wakeel aur  jammu Nami tanzeem ke chairman advocate Ankar sharma is wehshiana aur sharamnaak muqadma ko ek saazish se tabeer karkay hindu firqay ko aalmi satah badnaam karne ka ek mo-asar aala qarar dete hain .

Kaha ke Risalana muqadma mein CBI tehqiqaat ki maang ek jaaiz maang thi, kuch aisay shawahid samnay aeye they jis se yeh saabit hua ke yeh koi aam qatal nahi tha, is ke peechay ek bohat badi saazish thi jis mein mehbooba mufti aur deegar logon ne mahol ko kharab karne mein apna apna rule ada kiya lekin bad qismati se uss saazish ke jo alag alag pehlu they unki tehqiqaat nahi ki gayi. unka daawa hai ke muqadma mein mansoobah band tehqiqaat hui aur is mein Hinduoun ko bain ul aqwami satah par badnaam karne ki soch kar farma thi. advocate sharmaa is Muqadma ko roshni act se bhi jodnay ki koshish karte hain aur isko firqoun ke khilaaf ek saazish bhi qarar dete hain.

Unhon ne kaha ke jammu Kashmir mein state aqliat mukhalif hai, yahan ke aqliton firqoun mein hindu, sikh, bodh aur jain hain aur yahan ki hukoomaten alag alag tareeqon se inhen nishana banati hain, mulazimaton mein imtiaz badta jata hai aur roshni act aur mehbooba mufti ka 14 feb 2018 ka hukum nama jis ke khilaaf mein ne press conference ki aur is ko awam mein ujagar kiya, banaya jata hai. ankar sharmaa ke mutabiq ke is muqadma ki khusoosi tehqiqati team ne adalat mein jo gawah aur shawahid paish kiye hain is qader thos nahi hain ke mulzimon ko saza miley, is muqadma mein media trial hua , siyasi dakhal andazi bhi hui aur is ko aalmi satah par Hinduoun Hinduoun ko badnaam karne ke liye bhi istemaal kiya gaya. is muqadma mein mabni Bar haq tehqiqaat nahi hui balkay khusoosi tehqiqati team tashkeel dainay mein bhi imtiaz badta gaya. is muqadma mein munsifana tehqiqaat nahi hui, jahadio ki haami aurat ( Mehbooba Mufti ) ne apne hisaab ke mutabiq khusoosi tehqiqati team banai jis ne be bunyaad shawahid ko paish karne ki koshish ki lekin hamari ladai jari rahaygi .

Advocate sharmaa Kashmir ke sahafion aur siyasat daano par bhi is muqadma ko Hinduoun ke khilaaf istemaal karne ka ilzaam aed karte hue kaha ke is muqadma ko Kashmir ke sahafion aur siyasat daano ne bhi istemaal kiya jis ka maqsad Hinduoun, aur mulk ko badnaam karna tha aur soch yeh thi ke jammu ki Demography ko tabdeel kiya jaye. unhon ne kaha ke is muqadma ko istemaal karne ka maqsad yeh tha ke jammu ko kiya jaye aur yahan ke logon ki zamiinon par qabza kya jaye. Ankur sharmaa ke mutabiq yeh dekhna dilchasp hoga ke 10 tareekh ko judge sahib kya faisla sunaein ge aur hamein umeed hai ke agar shawahid ka tanqeedi tor jaiza liya jaye ga to mulzimaan buri hon ge aur hamein yeh bhi umeed hai ke hukoomat is ko siyasi nazriye se bhi dekhe gi. agar muqadma mein kuch oopar neechay hua to unke liye appeal ka rasta khula hai .

Mulzimaan ke ek aur wakeel AK saoni bhi muqadma ki CBI se tehqiqaat ka mutalba karte hue nazar arhay hain. unhon ne guzashta haftay ek  interview mein kaha ba-hasiat defence council jo aetmaad hota woh hamein shuru se hi raha ke yeh be qasoor log they, bohat acha hota agar CBI tehqiqaat hoti to asli qusurvaar pakdae jatay, yeh muqadma taham mutasirah bachi ke waalid Mohammad Yousuf Pajwal ke zaati wakeel ( Private Council ) Mubin Farooqi jo special public prosecutors santok singh basra aur jagdesh kumar chopra ko muqadma mein taawun kar rahay hain, unhon ne kaha ke mulzimaan ko sazayen milna sad feesad tey hai .

Qabil-e-zikar hai ke zila kathua ke tehseel hairangez ke Risana Nami gaon ki rehne wali aath sala kamsin bachi jo ke gurjar Birawala tabqa se talluq rakhti thi, usay 10 January 2018 ko is waqt aghwa kiya gaya tha jab woh ghodoun ko churanay ke liye nazdeeqi jungle gayi hui thi. is ki laash 17 January ko heera nagar mein jharion se bar aamad ki gayi thi. crime branch police ne May ke mahinay mein waqea ke sabhi 8 mulzimaan ke khilaaf chalaan adalat mein paish kya. crime branch ne apni tehqiqaat mein kaha hai ke aath sala bachi ko Risana aur is se mulhiqa gaon ke kuch afraad ne Ismat rezi  ke baad qatal kya. tehqiqaat ke mutabiq mutasirah bachi ke ighwa, Ismat darri aur sifakana qatal ka maqsad ilaqa mein rahaish Pazeer chand gojr Bakrawala kumboun ko darana dhamkana aur naqal makani par majboor karna tha. Tehqiqaat mein inkishaaf hua hai ke kamsin bachi ko aghwa karne ke baad ek muqami mandir mein qaid rakha gaya tha jahan usay nashawar adwiyaat khilai gayeen aur qatal karne se pehlay usay musalsal darindgi ka nishana banaya gaya .

Supreme court ne 7 May 2018 ko kathua muqadma ki jaanch CBI se karwane se inkaar karte hue muqadma ki samaat kathua  se pathankot ki adalat mein muntaqil karne ki hidaayat di thi. uss waqt ke cheif justice justice Deepak Mishra ki sadarat wali bench ne yeh hukum sunaya tha. Supreme court ke hukum naame ki roshni mein principal district and sushin judge kathua  Sanjay gupta ne 22 May 2018 ko kathua Ismat darri wo qatal muqadma ki pathankot muntaqili ke bazabta ehkamaat jari kardiye they. Supreme court ke hukum par 31 May ko district and session judge dr Tajwendar singh ki adalat mein muqadma ki un camera aur rozana ki bunyaad par samaat shuru hui .

Muqadma ke mulzimaan mein waqea ke sargana aur mandir ke nigran sanji raam, iska beta vishal kumar, sanji raam ka bhatija ( ne baligh mulzim ), na baligh mulzim ka dost parwesh kumar urf munnu, SPo  deepak khajooria , SPo surendra shamil hain . –YTN STAFF