Monday, April 21, 2025
HomeLatest NewsAmerica ka mashriqi wasti mein 1500 izafi fouj tainaat karne ka elaan

America ka mashriqi wasti mein 1500 izafi fouj tainaat karne ka elaan

Washington : America ke sadar Donald Trump ney jodi muahiday par Iran se kasheedgi ke tanazur mein mashriqi wasti mein izafi 1500 fouj tainaat karne ka elaan kar diya hai. AFP ke mutabiq Japan ke doray se qabal media se guftagu karte hue Donald Trump ney kaha ke hum mashriq wasti mein tahaffuz chahtay hain .

Donald Trump ney wazeh kiya ke hum tahaffuz ki gharz se qadray kam fouji bhaij rahay hain jo taqreeban 15 so honge. wazeh rahay ke isse qabal America ki janib se fouj ki tainaat se mutaliq khabron ki tardeed ki jati rahi thi. America ki janib se Iran ke sath jodi moahida khatam karne ke baad dono mumalik ke mubain kasheedgi badh gayi hai aur Washington ney khaleej faris mein behri jungi beda aur B52 bambaar tainaat kardiye hain .

Is par Iran ke wazeer kharja Jawad zareef ney kaha ke Amrici behri jungi beda aur B52 bambaar ki taenati kisi waqea ka aaghaz ho sakta hai khaas tor par aisay waqt mein jab kuch log jung ke khwaahan nahi hain. khayaal rahay ke Donald Trump ney chand roz qabal Tweet mein Amrici mafaad se tazaad ki soorat mein Iran ko tabah karne ki dhamki di hai. baad azan Trump ney apni hi dhamki ka zor todte hue kaha ke agar tehran ek qadam badhata hai to hum muzakaraat ke liye tayyar hain lekin irani wazeer kharja ney kaha ke Iran aisay logon se muzakaraat ke liye amaada nahi jinhon ney wada khalaqi ki ho . –YTN STAFF