New Delhi : Lok Sabha ke 17th intikhabaat mein umeedwaron nay nah sirf 10 laakh se ziyada vote laane ka record banaya hai balkay ek umeed waar to sirf 22 hazaar 852 vote le kar hi kamyabi darj ki hai. Madhya pradesh ki andor halqay par Bhartiya janata party ke Shankar laal vani nay 10 laakh 68 hazaar 559 vote laakar apne nazdeeqi hareef congress ke pankaj ko paanch laakh 47 hazaar votes se shikast di hai. BJP nay Sabiqa lok sabha speaker Sumitra mahajan ko is baar ticket nahi diya tha woh aath martaba se musalsal is Nishist se rukan-e-parliment muntakhib ho rahay thay .
Lakshwadeep mein nishnlist congress party ke Mohammad Fazal nay sirf 22 hazaar 851 vote laakar apne nazdeek hareef congress ke Hamid Ullah Saeed ko 823 votes se shikast di. is Nishist par jumla 18 umeed waar thay. is election mein 9 laakh se ziyada vote panay walay bhi kayi umeed waar hain. Madhya pradesh ke Chittorgarh se BJP ke Chandar prakash joshi nay no laakh 82 hazaar 942 vote haasil kiye hain, jabkay Rajasthan ki bhilwara Nishist par BJP ke hi subhash Chandar nay 9 laakh 38 hazaar 160 vote haasil kiye hain. unhon nay congress ke Raam Paal sharmaa ko shikast di hai. sharmaa ko teen laakh 26 hazaar 160 vote haasil hue hain .
Riyasat ki Jaipur Nishist par BJP hi Raam Chandar vohra ko 9 laakh 24 hazaar 65 vote miley hain. wahan congress ke jyoti Khadelewal ko 4 laakh 93 hazaar 439 vote miley hain aur woh dosray number par rahay. wazeer mumlikat baraye kharja general VK singh nay Uttar pardesh ki ghazi abad Nishist par 9 lakh 44 hazaar vote haasil karkay samaaj waadi party ke umeed waar suresh bansal ko paanch laakh se ziyada votes se shikast di hai. yahan congress ki daali sharmaa 1 laakh 11 hazaar se kuch ziyada vote haasil nahi kar payen .
Haryana ke fareedabad se BJP ke krishan paal nay 9 laakh 13 hazaar 22 vote haasil karkay congress ke Avtaar singh ko shikast di hai. Bhandana sirf do laakh 74 hazaar 983 vote lainay mein kamyaab rahi. isi riyasat ki krnal Nishist par BJP ke sanjay bhatya nay 9 laakh 11 hazaar 594 vote laakar congress ke kuldip sharmaa ko shikast di hai. sharmaa kal do laakh 55 hazaar 452 vote haasil kar sakay .
Daman aur dio Nishist par BJP ke Babu bhai lalu bhai patel kamyaab hue. inhen 37 hazaar 597 vote miley jabkay congress ke patel 27 hazaar 655 vote le kar dosray number par rahe. is election mein ek laakh se bhi kam vote paker kayi umeedwaron ki jeet darj hui hai. un mein Andoman nicobar jazair se congress ke kuldip raye sharmaa shaamil hain. unhon nay 95 hazaar 308 vote laakar jeet haasil ki. yahan dosray number par BJP ke vishal jaali rahay jinhein 93 hazaar 901 vote haasil hue. is Nishist par jumla 15 umeedwaron nay apni siyasi qismat aazmai thi. –YTN STAFF