Sunday, May 11, 2025
HomeHyderabadRamadan-ul-Mubarak Mein Hamari Ghaflatein Aur Kotahiyan

Ramadan-ul-Mubarak Mein Hamari Ghaflatein Aur Kotahiyan

Hyderabad: Aalam-e-islam mein Mahe Ramadan-ul-Mubarak ka aaghaz ho chuka hai aur Mahe Ramadan-ul-Mubarak akhirat aur duniya ke aitbaar se ki ek  nematon rehmaton aur kamyabion ka maheena hai. duniya ke aitbaar se jahan Ramadan tijarat mein farogh ka zareya bantaa hai to doosri janib Allah rabulizzat Ramadan mein ek  neki ko 70 darjay izafay ke sath faraham karte hain, lekin Ramadan-ul-Mubarak ke mutaliq hamaray samaaj aur mojooda tahazeeb mein chand ek  ghalat fehmiya aur Ghaflatein aisi ras bas gayi hain ke is taraf tavajja bhi nahi jati hai ke hum kis tarha chotey se faida ke liye azeem tareen fawaid se mahroom ho rahay hain .

Aam tor par hum yeh khayaal karne lagey hain ke Ramadan ka maheena tijarat aur paise  kamanay ka maheena hai yahi wajah hai ke tareekhi imarat Charminar   ke daman mein mojood hazaron dukanain aam dinon ke baraks Ramadan mein mazeed mashgool dikhayi deti hain aur unkay auqaat car mein bhi izafah hojata hai. Ramadan ka maheena ibadatoon mein masroof rehtay hue ziyada se ziyada sawab kamanay ka maheena hai lekin iska yeh matlab hargiz nahi ke tijarat ko nazar andaaz kardiya jaye lekin sab se badi ghaflat yahan hum se yeh ho rahi hai ke tijarat ko ahmiyat dete hue ibadat jahan ek  neki par 70 gina ziyada sawab mil raha rahay hai isko hum chand rupiyon ke husool ke liye nazar andaaz kardete hain

Namaz-e-Taraweeh ke mutaliq ghalat fehmi

Ramadan ki ek  khaas ibadat taraveeh hai aur is ke mutaliq is waqt hum mein aur khaas kar nojawan nasal mein ek  ghalat fehmi yeh payi jati hai ke kisi ek masjid mein rozana 3 paaray ya 5 paaray ya 10 paaray taraveeh mein padh liye jatay hain aur iske baad yeh samjha jata hai ke ab chunkay Quran-e-Majeed mukammal hogayi hai lehaza unpar se namaz-e-taraveeh ki zimma daari khatam ho chuki hai lekin haqeeqat is ke baraks hai. yaad rakhna chahiye ke taraveeh mein ek  Quran ka sunna alag sunnat hai aur Ramadan ke pooray mahinay mein Taraveeh ka mukammal ada karna ek  alehdah sunnat-e-Moakkidah hai. yeh baat zehan nasheen kar leni chahiye ke agar koi shakhs apni tijarat, mulazmat ya kisi aur wajah se Ramadan ki pehli raat se le kar chaand raat tak mukammal quran taraveeh mein sun nahi sakta to is ke liye sahoolat hai ke woh kisi masjid mein 3, 5 ya 10 paaray suntay hue quran sunney ki sunnat ko mukammal karle lekin iske baad is par se ye zimmedaari bilkul khatam nahi ho jati ke woh baqi ayyaam mein taraveeh ki namaz ko tark kardey. ab is par yeh zimma daari aed hoti hai ke woh baqi dinon mein apni sahoolat ke aitbaar se jahan jis masjid mein taraveeh ada kar sakta hai wahan rozana taraveeh padh le kyunkay taraveeh rozana padhna sunnat Moakkidah hai aur sunnat Moakkidah par ajar ke sath sawal bhi kiya jayega. aakhri darjay mein usay infiradi tor par taraveeh ada karni hogi yani yeh baat zehan nasheen kar leni chahiye ke taraveeh mein mukammal quran ka sunna ek  alag sunnat hai aur Ramadan ki pehli raat se lekar chand raat tak taraveeh ka ehtimaam karna sunnat Moakkidah hai .

Sehri ke baad thora arram ki koshish mein Fajar foat karna

Ramadan-ul-Mubarak ke mahinay ke douran doosri kotahi ya ghaflat yeh hoti hai ke sehri ke baad Fajar tak aam tor par jo 40 se 50 minute ka waqfa hota hai is douran zara kamar seedhi karne ke mizaaj ki wajah se arram karne ki gharz se let-te hain aur neend lagnay se Fajar ki namaz foat ho jati hai halaanke namaz ka waqt par ada karna afzal tareen ibadatoon mein shumaar hai lekin zara si kotahi ki wajah se ya din bhar ki thakawat ki wajah se sehri ke baad thoda aaram karne ke hamaray mizaaj ki wajah se Fajar ki namaz foat ho jati hai is kotahi par qabu panay ki zaroorat hai .

Fajar ki pabandi aur kam az kam ek quran ki takmeel ka asan nuskha

Quran aur Ramadan ke darmiyan khaas taluq hai yahi wajah hai ke Allah taala ne Ramadan-ul-Mubarak ko woh maheena qarar diya jis mein quran ka nuzool hua lehaza is mahinay mein ziyada se ziyada tilawat Quran ko apna mamool banana chahiye iska asan tareeqa yeh hai ke sehar ke baad se Fajar tak ke jo waqfa dastyab hota hai is mein agar har shakhs apni sahoolat ke aitbaar se tilawat-e-Quran karta hai to iske do fawaid ho jatay hain, awwal to yeh ke sehri ke baad tilawat-e-quran kareem ki wajah se Fajar ke foat honay ka khadsha khatam ho jata hai dosra yeh ke is waqfay mein quran ki talawat se umeed ki jasakti hai ke Ramadan bhar mein kam az kam ek  quran ki takmeel aasani se hojayegi. zaroorat is baat ki hai ke Ramadan ko tijarti aitbaar se kamaai ka maheena bananay ke sath sath is baat par bhi ziyada tavajja dainay ki zaroorat hai ke yeh maheena akhirat ki kamaai ka bhi hai aur har ek  lamhay ko qeemti tareen bananay mein hamein apni kotahiyon aur ghafalton par qaboo paana hai . –YTN STAFF