Tuesday, April 22, 2025
HomeIndiaRaye Dahi Sehri Ke Baad Shuru Karne Par Ghour

Raye Dahi Sehri Ke Baad Shuru Karne Par Ghour

New Delhi: Mah-e-Ramadan-ul-Mubarak aur shadeed garmi mein raye dahi ke mutaliq awam mein pehlay hi pareshani payi jati hai lekin aisa mehsoos ho raha hai ke ramadan mein roze-e-daaroun ke sath shadeed garmi mein hindustani awam ko bhi raahat mil sakti hai kyunkay Supreme court ney lok sabha intikhabaat ke aindah marhalay ki raye dahi Ala subah karwane se mutaliq ek arzi par munasib hukum jari karne ki intikhabi commission ko hidaayat di hai .

Chief justice Ranjan Gogoi, Justice Deepak Gupta aur Justice Sanjeev Khanna ki bench nay pesha se wakeel nizaam pasha ki arzi per commission ko arzi guzarki darkhwast par ghour karne aur is par munasib hukum jari karne ki hidaayat di hai .

Arz guzar ki taraf se senior wakeel Meenakshi Arorah  nay bench ke samnay maamla ka khusoosi zikar kiya. unhon nay bench se darkhwast ki ke mehakma mousamiyat nay anay walay baqi ke 3 marhalon ki polling ke douran shadeed garmi ka andesha zahir kiya hai, sath hi muslim bhaiyo ka mubarak Ramadan bhi shuru ho raha hai. iske mad-e-nazar polling muqarara waqt subah saat 8 se shuru karne ke bajaye aur pehlay ( ek andaza ke mutabiq 5 bajey se ) shuru karne ki hidaayat commission ko di jaye. unhon nay kaha kay garam hawaun ke jhonkon ki wajah se shaam ko raye dahi ke auqaat mein towsee sahih nahi hogi is liye subah ke waqt hi raye dahi jald shuru honi chahiye .

Supreme court mein jis muamlay ke tehat darkhwast daakhil ki gayi hai usay kisi mazhab ya khaas tabqay ke tanazur mein dekhnay ki bajaye mausam garma aur hindustani siyasi tanazur mein insaaniyat ko aaraam pehchane ki gharz se ek inqalabi qadam uthana chahiye jis se Hindustan duniya ko ek aisa misbat-e-pegham day sakta hai ke awam ko raahat pohanchanay ke liye duniya ka sab se bada jamhoori mulk koi bhi inqalabi tabdeeli karne aur qadam uthane mein paswa pesh nahi hota . –YTN STAFF