Hyderabad: Shehar Hyderabad mein mausam e barsaat aur barish ke pani ke wajah se kayi aik masail hotay hain aur kayi martaba to yeh bhi dekha gaya hai ke barish ka pani naalon aur gaadon mein jama honay se raah chaltay paidal rahgiron aur gaadi sawaar afraad haadsay ka shikaar ho jatay hain jin mein kisi ki mout waqay honay ki khabar bhi manzar aam par aa chuki hain.
Mausam e barsaat ki aamad se qabal Majlis Baldia Azeem tar Hyderabad (GHMC) ke hudood mein mojood barsati naalon aur sewerage nizaam ki safai ke iqdamaat shuru kardiye gaye hain aur GHMC ke ohdedaron ney contractoron ko hidaayat di hai ke woh mah May ke ekhtataam se qabal safai ke kamon ko mukammal karlen taakay mausam e barsaat ke douran sheriyon ko kisi qisam ki mushkilaat ka saamna karna nah pade. 87 baday naalon ke ilawa 735 kilomiter Sewerage Line ki mukammal safai aur un mein mojood kachray ki nikasi ka amal manson ki aamad se aik mah qabal mukammal karliya gaya hai aur is baat ka jaiza liya ja raha hai ke shehar Hyderabad mein jin maqamat par barsaat ka pani behnay mein rukawat peda hoti hai un ilaaqony mein dobarah safai karwai jaye gi.
Majlis Baldia Azeem tar Hyderabad ki janib se 38 crore 24 lakh 35 hazaar ka tendar Manzoor karte huwe shehar ke barsati naalon ki safai amal mein layi ja rahi hai taakay kisi qisam ka koi masla nah ho. Commissioner GHMC Dana Kishore ney Shehar Hyderabad ke tamam barsati naalon ki safai ki nigrani karne ki Hidayat dete huwe kaha ke un barsati nalo mein kachra daalnay walon ke khilaaf bhi karwai ki jaye kyunkay kachra daaley janay ke sabab hi naalon ke bahaoo mein rukawat peda hoti hai.