Sunday, May 11, 2025
HomeLatest News12 saal se zair-e-taamer Europe ki pehli mahol dost masjid awam ke...

12 saal se zair-e-taamer Europe ki pehli mahol dost masjid awam ke liye khol di gayi

London: Bartania ke tareekhi shehar Cambridge ke tareekhi abab mein ek aur izafah hua hai kyun kay yahan Bartania aur Europe ki pehli mahol dost masjid aam namaziyon ke liye khol di gayi hai .

23 million pound ke masarif se taamer kardah Cambridge central Masjid taqreeban 12 baras zair-e taamer rahi. is masjid ke Architect ne kaha hai ke yeh 21st sadi ke Bartania mein islam ka saqafati pal saabit hogi. masjid ki trust ke tarjuman Dr abdul Hakeem ne kaha ke ek andazay ke mutabiq cambridge ke 6000 musalman rehaishi shehar mein banai gayi khangi rahaish gaahon, choti choti masajid ya gunjaish se ziyada bharay hue Islamic Centers mein namaz ada karte they, is liye Cambridge mein ek mukammal masjid ki ashad zaroorat thi. cambridge city council ke mutabiq isko masjid ke mansoobay ki mukhalfat mein 50 khutoot miley jabkay iski himayat mein 200 khutoot masool hue .

Is masjid ki taamer ke ruh rawan maazi ke azeem Glokar Kate Stevener hain jo baad mein islam qubool kar ke Yousuf Islam kehlaye aur cambridge university mein Islamic Studies ke lecturer aur Maroof scholar tem winter hain. Yousuf islam ne masjid ki taamer ke liye chandah akhatta karne mein bhi ahem kirdaar ada kiya. Turkey ke sadar Tayyab Erdogan se miley. Turkey ne masjid ki taamer mein ek ahem kirdaar ada kiya hai. is masjid mein baik waqt 1000 musalli namaz ada kar sakenge, iske zair-e-zamin car parking mein 82 gadiyaan aur 300 cycles khadi karne ki gunjaish hai .- YTN STAFF