Hyderabad: Sher-e-Hyderabad ke awam ek janib jahan mah-e-muqaddas Ramadan ul mubarak ka khair maqdam karne ki tayario mein masroof hai to doosri janib mausam-e-garma apne urooj ki simt rawan hai jaisa ke guzashta do dinon ke douran shehar-e-hyderabad ke kayi ilaqon mein garmi ki shiddat 40 degree celsius se bhi aagay badh chuki hai .
Guzashta chand dinoun ke douran shehar ke mukhtalif maqamat par honay wali barish ki wajah se hyderabadi awam ko kisi qader raahat mili thi lekin Chaharshamba aur jummerat mein jo darjah hararat record kiya gaya hai is nay awam ki himatoun ko jawab day diya hai kyunkay guzashta roz Musheerabad mein darjah hararat 42.0 degree Celsius record kiya gaya hai. shehar Hyderabad ke deegar jin ilaqoun mein darjah hararat taqreeban 40 degree celsius tak pohanch chuka hai un mein Nampally market, Tarnaka,Monda market, Tirmulgiri aur Qutubullahpur qabile zikar hain .
Nampally mein darjah hararat one 39.4 degree Celsius , Monda market mein darjah hararat one 39.5, Tirmulgiri mein darjah hararat 39.7 aur Qutubullahpur mein darjah hararat 39. 9 degree Celsius record kiya gaya hai. mehakma mosmiyat ke ohday daaron nay aindah chand dinon ki mausam ki paish qiyaasi karte hue kaha hai ke shehar hyderabad mein guzashta chand dinon ke douran ziyada se ziyada darjah hararat 39 degree Celsius record kiya gaya hai lekin aindah dinon mein aasman abar alood rehne ke alawa bijlion ki garaj ke sath barish ka bhi imkaan hai lekin mausam ke Khushgawar honay ki koi paish qiyaasi nahi ki gayi hai aur aindah chand dinon mein darjah hararat 40 taa 41 degree Celsius tak pohanch jaaney ka imkaan zahir kiya gaya hai . –YTN STAFF