Friday, May 2, 2025
HomeHyderabadShiv Nadar University Mein Under Graduate Courses Mein Dakhlon Ka Elaan

Shiv Nadar University Mein Under Graduate Courses Mein Dakhlon Ka Elaan

Hyderabad: Hama shoba-e-jaat aur Asri sahuliyaat se  Shiv Nadar  university nay taleemi saal 2019 ke liye apne tamam Under Graduate courses mein dakhlon ka elaan kardiya hai aur khwahish mand talba 15 May se pehlay darkhwasten daakhil kar saktay hain.

Hyderabad mein munaqidah ek press conference se khitaab karte hue Shiv Nadar  university ke Under Graduate Studies ke assistant Dean Dr Rajiv Kumar Singh nay kaha ke musalsal behtar taleemi khidmaat ki wajah se haliya national institute ranking frame work ( NIRF) ki darjaa bandi mein universites ke zamray mein mazkoorah university naay 52th maqam haasil karliya hai aur is saal bhi taleemi miyaar aur sahoolat mein mazeed behtari ke roshan imkanaat hain .

Dakhlon ki tafseelaat faraham karte hue Dr Singh nay mazeed kaha ke aisay talba jinhon naay 12th jamaat ki taleem mukammal karli hai unke 12th jamaat ke taleemi muzahiron, SNUSAT aur Academic Professor Test ki bunyadon par dakhla diya jaye jis ke liye Under Graduates ke mukhtalif courses mein dakhlon ke liye 20 May ko ahliti imtehanaat honge. mazkoorah university ke school of Engineering mein 300 nishistain, school of Humanities aur Social Science mein 100 nishistain, natural science mein 100 nishistain aur school of managment mein 60 nishistain mojood hain jin mein dakhlay diye jayen ge. www. snu. edu. in mazeed tafseelaat ke liye yeh Website mulahiza karen .- YTN STAFF