Colombo: World cup mein Sri Lankan cricket team ki qiyadat Dimuth Karunaratne karen ge kyunkay Lasith Malinga ko qiyadat se bar tarf kardiya gaya hai halaanke world cup 2015 ke baad Karunaratne ODI cricket nahi khail sakay lekin junoobi Africa kay khilaaf haeran kin kamyabi ke baais inhen captani dainay ka faisla kiya gaya hai. Srilanka ne world cup 2019 ke liye tajurbah fast bowler Lasath Malinga ko team ki qiyadat se hataane ka elaan kardiya .
Chairman selectors Asantha ne kaha ke inhen aisay khiladi ki zaroorat hai jo team ko England mein world ke douran muttahid rakh sakay. Srilanka ki team England mein honay walay world cup 2019 mein apna pehla match Newzealand ke khilaaf 1st June ko khailaygi. chairman selectors Asantha ne aitraaf kiya ke Srilanka ki team ko kayi masail ka saamna hai. khayaal rahay ke Srilanka ki team ka haliya barson mein androoni ikhtilafat ke alawa qiyadat mein bhi kayi masail ka saamna raha jabkay nazam wo zabt mein bhi team ki karkardagi mayoos kin rahi .
world cup 1996 mein zabardast karkardagi ka muzahira karte hue aalmi champion ka taaj pahannay wali sri lankan team is waqt batting ke sath bowling ke shobay mein bhi masail ka shikaar hai. Malinga ko qiyadat se hataane se mutaliq cheif selectors ne kaha ke woh bator captain theek rahay lekin woh deegar chand senior khiladion ke sath theek tarha mil jul nahi pa rahay they. Srilanka ki team ko unki qiyadat mein bhi shikaston ka saamna raha hai. elaan se qabal hi world cup ke liye Srilanka ki mojooda team mein Karunaratne ko qiyadat ke liye mazboot umeed waar tasawwur kya ja raha tha jabkay sabiq captain Angelio Mathews ke imkanaat is liye bhi madoom nazar arhay they kyunkay coach Chandeeka ke sath unke ikhtilafat samnay atay rahay hain. Karunaratne ki qiyadat mein Srilankan team ne junoobi Africa ke khilaaf test series mein 0-2 ki tareekhi kamyabi haasil ki thi aur junoobi Africa ko is ki sarzamen par shikast dainay wali pehli asiayi team ban gayi thi .
Squad: Dimuth Karunaratne (captain), Avishka Fernando, Lahiru Thirimanne, Kusal Perera, Kusal Mendis, Angelo Mathews, Dhananjaya de Silva, Jeffery Vandersay, Thisara Perera, Isuru Udana, Lasith Malinga, Suranga Lakmal, Nuwan Pradeep, Jeevan Mendis, Milinda Siriwardana