Hyderabad: 28 September 2008 ki shaam Malegaon ke awam ke liye qayamat-e-Soghra ban kar aayi thi kyun kay Sainkdo Musalman jo kay muqaddas raat ki ibadat ki taiyario mein mashgool they aur un mein shayad kayi bandegaan towheed to aisay bhi honge jinhon ne shaam ke aaghaz par hi apne rab ko mananay ki tayyariyan shuru kar di theen hongi lekin kisi ne bhi nahi socha tha ke ghuroobe aftaab ke sath hi kayi logoun ki zindagi ka Sooraj bhi doob jaye ga kyunkay ramadaan-ul-mubarak ke muqaddas Ayyaam mein shehar ke Bhakku Chowk per jo dhamaka hua tha jisme 6 logoun ko mout ki neend sulanay ke alawa 101 se ziyada afraad ko zakhmi karte hue Dawakhao ke bistar par pohancha diya. is dhamakay mulzimin mein Sadhvi Pragya Singh Thakur Lt Col Prasad Srikant Purohit ke mulawis honay ke darjanon shawahid milnay ke baad qanoon ke idaron ne apni khidmaat dainay shuru ki aur duniya ko yeh Paigham dainay ki kamyaab koshish ki ke dehshat gardi ka koi mazhab nahi hota aur dehshat gard ka kisi mazhab se talluq nahi hota .
11 saal pehlay hue dhamakay jis ne kayi jaanen lee hain is ki ahem mulzim Sadhvi Pragya Singh Thakur ko adalat ne be qasoor qarar nahi diya halaanke Bhagwa Aaqaoun ne har guzarte waqt ke sath Sadhvi ke liye aasaniyan aur qanooni raahat faraham karne mein koi kasar nahi chodi aur ab to hadd yeh hogayi ke BJP ne Madhya pradesh ke parlimani halqay Bhopal se Sadhvi Pragya Singh Thakur ko sabiq cheif Chief minister Vijay Singh ke khilaaf maidan mein Utara hai. Sadhvi jis ne sahet ki na-saazi ko binad banakar zamanat par rihayi haasil ki hai ab woh achanak itni sahet mand hochuki hain ke is mausam-e-garma ki shidad aur chilchelati dhoop mein intikhabi sar garmion mein shaamil honay ke liye pooray josh ke sath na sirf tayyar hai balkay usay apni kamyabi ka poora yaqeen hai .
Bhopal mein sadhvi pragya Thakur ne kaha ke BJP mere nazriya ki party hai aur siyasat mein anay ka yeh sahih waqt hai. Rashtrawad ( hub-ul-watni ) ko lekar mein aam logoun tak jaungi. Thakur ne kaha ke mein mulk ke dushmanon ko khula challenge deti hon aur mulk ke dushmanon ke khilaaf jad-o-jehad karne ke liye hamesha tayyar hon. mere jaisay Muhib-e-watan mulk ke dushmanon ko mun toad jawab dainay ke liye tayyar hain. pata nahi unhon ne kis hub-ul-watni ki baat ki hai. Watan-e-Aziz ke bashinday jo kay mahe muqaddas ramadaan ki babarkat raat mein Allah ki bargaah mein ibadaat mein masroof they inhen dhamakay se mout ki neend suladi gayi kiya yeh hi hub-ul-watni hai?
Bhopal se sadhvi pragya Thaku ko ticket day kar BJP jahan musalmanoun ke jazbaat majrooh kiye hain wahein is ne hindu Raye dahindgaan ko bhi ek qisam ka challenge diya hai ke woh mazhabi bahao mein aakar ek aisay umeed waar ko vote den jis ke khilaaf sakht tareen qawaneen aur hindustani dafaat ke tehat muqadma Zaire dawar hai. Thakur ko BJP ka ticket dainay ke sath hi mukhtalif goshoun aur qaideen ki janib se tanqidoun aur himaytoun ka ek silsila shuru hochuka hai aur behas ka ek aisa tufaan agaya hai jo kay aindah chand dino tak nahi thamega .
Sadhvi Pragya Thakur ko Bhopal parlimani halqay ke liye ticket dainay par BJP par sahdid tanqeed karte hue National Conference ke naib saddar Omar Abdullah ne kaha hai ke BJP mulk ke qanoon ki dhajjiyan uda rahi hai. Omar abdullah ne apne ek Tweet mein rad-e-amal zahir karte hue kaha BJP ne parlimani nishist ke liye umeed waar khada kar ke qanoon ka mazaq udaya hai. ek aisa shakhs jis par dehshat gardi ka ilzaam aed hai aur jo sahet ki bunyadon par zamanat par riha hai jabkay bazahir woh election ladnay ke liye sehat mand hai. unhon ne is ke alawa PDP sadar Mehbooba Mufti ke ek Tweet ko Re-tweet karte hue kaha jin logoun ki aap muzammat karti ho woh uss waqt bhi aisay hi they jab aap ka unke sath ittehaad tha lekin Iqtidaar ki lalach ne aap ko andha kardiya tha .
BJP aur zafran jamaaton ki janib se har guzarte din ke sath Thakur ko raahat faraham karne mein koi kasar nahi chodi gayi hai ab jabkay usay bhopal se ticket di gayi hai to qanooni idaron aur adalat mein bhi is ke khilaaf sargarmia phir ek martaba taiz hogayi hain .
NIA adalat Mumbai ne Sadhvi Pragya Thakur ko jari yeh lok sabha intikhabaat mein muqaabla karne ki ijazat dainay par NIA se jawab talab kiya hai. Malegaon dhamakoun 2008 ke ek mahlook ke waalid Nisar Ahmed syed bilal ki darkhwast par NIA ki adalat ne yeh iqdaam kiya. NIA ne sadhvi pragya Thakur ko jo Malegaon dhamakay muqadma ki ek mulzim hai aur deegar 7 afraad ko intikhabaat mein hissa lainay ki ijazat di hai, bilal ne nishandahi ki ke Sadhvi tibbi bunyadon par mashroot zamanat par riha hai. Bombay high court ne 2017 mein inhen riha kiya tha. un mein se ek shart yeh bhi hai ke Sadhvi ko muqadma ki har samaat mein haazir rehna hoga. woh kharabi sahet ke bahanay ghair hazir nahi reh sakti. NIA ne Pragya Thakur ko be qasoor bhi qarar diya hai. adalat ne is masla ka jaiza nahi liya hai. Oct 2018 mein Sadhvi ke khilaaf adalat ne mazeed ilzamaat aed kiye they lekin har qadam par Pragya ko BJP aur zafrani Aqaoun ki janib se milnay wali raahat ne us ke hauslay buland kiye hain. jis waqt Pragya ko girftar kiya gaya tha tab se hi usay apne Aaqaoun ki pusht panahi aur madad mil rahi hai .
Agar mazi qareeb per nazar dali jaye to pata chlta hai ke is muqadma ki ek ahem sarkari wakeel Rohini Salyan per dabao tha ke woh is muqadma ko halka kar yaani gawahoon ke bayanaat is tarha se lao ke mulzimin ko faida puhanche lekin Rohini salyan ne muqadma ke sarkari zimmay-daaron ki baat nahi mani aur aisa nahi ke yeh sab sargarmia markaz aur riyasat mein sarkaro ki tabdeeli ke bad hi shuru huien aur istighasa kaawaiy badla, balkay Bhagwa hukoomat ke qiyam se pehlay bhi aisa dabao tha. Baqoul Gulzaar Ahmed Aazmi jis din Sadhvi Pragya ko girftar kya gya tha is ke dosray hi din Adwani aur BJP ke dosray qaideen ne is waqt ke Wazeer e Azam Manmohan Singh se mulaqaat ki thi aur inse zor de kar kaha tha keh Sadhvi be gunah hai aur dekhiye ke is mulaqaat ke baad ATS ke Aanjhani sarbarah ats Hemant Karkare ko Manmohan Singh ne talabb bhi kiya tha aur iss ke bad hi se Hemant Karkare thoda pareshan rahay. S M Musharraf ne apni kitaab’ Hemant Karkare ke qaatil kon?’ mein to yeh wazeh ishara bhi diya hai ke yeh jo 2008 ke muqadmay mein mulawis afraad aur tolay hain woh Bhagwa tanzeemen aur unke karkunaan hi hain. Gulzaar Aazmi is poooray muamlay mein Manmohan Singh ki hukoomat ke kirdaar par sawalia nishaan lagatay hain. Karkare ki himmat ko pust karne mein Manmohan hukoomat ka bhi haath tha, Hemant Karkare ne khud kaha tha ke mujh par dabao dala ja raha hai ke mohtaat hokar kaam karo. Sadhvi prohit apni touli sameit mulk ko hindu rashtra ke liye koshan they avras liye unhon ne Malegoun mein bomb dhamaka kiya tha aur thodi si umeed is liye bhi bandhi hai ke Sadhvi ko di jaane wali NIA ki clean chit ko nazar andaz karte hue adalat ne Prohit sameit Sadhvi ke khilaaf bhi Malegaon bomb blast ki mujremana saazish rachne ke ilzaam mein muqadma chalanay ki ijazat di .
Malegaon bomb dhamakay ki mulzima Sadhvi Pragya Thakur ke khilaaf EPS aur UAPA qanoon ki mukhtalif dafaat ke tehat muqadmaat darj hain jis mein UAPA ke dafaa 16 ( dehshat gardi ki karwai anjaam dainay ) dafaa 18 ( dehshat gardi ki saazish karne ) ke tehat muqadmaat darj hain isi tarha IPS dafaat ke tehat bhi is ke khilaaf kayi ek muqadmaat darj hain jis mein dafaa 302 ( qatal ) aur dafaa 307 ( qatal ki saazish rachne) bhi qabil zikar hain. kayi ek sangeen ilzamaat ka saamna karne aur sakht tareen dafaat ke tehat muqadma ka saamna jis mein saza bhi intahi sakht honay ka khadsha hai un sab ke bawajood sadhvi pragya Thakur ko ticket day kar BJP kiya Paigham dena chahti hai ? – YTN STAFF