Sunday, May 11, 2025
HomeLatest NewsSchooli Talba Ko Windows 10 Se Aaraasta Laptop Aur Desktop ...

Schooli Talba Ko Windows 10 Se Aaraasta Laptop Aur Desktop Haasil Karna Aasaan

Hyderabad: Tamam schooloun mein garmayi tatilat ka aaghaz ho chuka hai jis ke baad ab ek janib jahan bachon ko tatilat ke aaghaz ki khusihyan hain aur woh chutiyoun mein naniyal ka rukh karne ki tayarioun mein masroof hain to doosri janib auliyae talba aur walidain ko aindah taleemi saal ke akhrajaat jis mein dakhlay ki fees, kitabon ki kharidari ke liye ruqumat ka intizam, naye uniform aur deegar akhrajaat ki takmeel ke liye intizamaa ki fikar la-haq hai. alawa azeen Asri daur mein taleem ke masabiqti taqazoon ko poora karne ke liye computer aur laptop  ka husool bhi laazmi tasawwur kiya ja raha hai, kyunkay schools mein project work ki takmeel mein cyber technology ka ab istemaal ek laazmi juz ban chuka hai. computer aur internet ke baghair taleem adhuri tasawwur ki jarahi hai jis ke baad walidain ke liye apne bachon ko behtar se behtar taleem faraham karne ke liye ghar mein computer ka bhi intizam karna pad raha hai .

Taraqqi Yafta mumalik mein jo Schooli taleemi nizaam hai wahan har4 bachon mein ek computer ki asaas par Schools mein computer  ki sahoolat faraham ki jati hain jabkay Hindustan mein yeh rivaaj abhi farogh nahi paaya hai aur yeh bhi dekha jata hai ke computer lab ke naam par taqreeban har school mein dakhlon ke waqt tashheer ki jati hai lekin haqayiq is ke baraks hotay hain. shehar ke schools aur khaas karke naamwar schools ka tajzia kiya jaye to aisay bohat kam school mlitay hain jin mein hafta vari ya kam az kam mahana ki asaas par bachon ko computer lab mein haqeeqi tor par practical karwaye jatay hain. ek janib schools mein har taalib-e-ilm ko computers ba aasani dastyab nah honay ke masail hain to doosri janib ghar par apne bachon ko computer faraham karne ke liye maali masail walidain ko pareshan karte hain, lekin unke liye is waqt ek khushkhabri hai ke computer bananay wali aalmi satah par ek mashhoor company lenevo  ne har bachay ko laptop  aur desktop   faraham karne ki koshish mein walidain ko ek aisi sahoolat faraham ki hai jis ke zariye woh apne bachon ke liye Windows 10 se aaraasta laptop  aur desktop   computers aasaan tareeqay se haasil kar satke hain. lenevo  company ki janib se ek muhim’ ‘ BACK TWO SCHOOL’ ‘ shuru ki hai jis ke zariye taleemi aghraaz ke liye Windows 10 se aaraasta laptop  aur desktop   ka husool aasaan hua hai .

Laptop  ki aasaan farahmi aur kharidari ke liye company ki janib se nah sirf ek sahuliyaat faraham ki gayi hain balkay Bajaj finance, Capital first ke zariye aasaan aqsat ki sahuliyaat bhi faraham ki ja rahi hain. laptop  ke husool ke liye deegar tafseelaat Website se haasil ki ja sakti hain jahan laptop  aur desktop   ki mukhtalif aqsam aur un par faraham kiye jane wali discount aur deegar tafseelaat dastyab hain. mazeed tafseelaat www.lenovo. com mulahiza karen . –YTN STAFF