Hyderabad: Tableeghi Jamaat ke ijtima ki ek zahiri pehchan wasee wo Areez maidanoun mein islami libaas mein saroun ka samandar nazar aana hai aur duniya ke kisi bhi khittay mein jab ijtima hota hai to door daraaz se lakhoon bandgaan touheed is mein shirkat karte hain aur ab 3 din ke douran hyderabad mein shaheen nagar ka ilaqa aisay hi Purnoor manazair ko paish karne wala hai .
Hyderabad mein 5 taa 7 April tableeghi jamaat ka ijtima ho raha hai jis mein mulk ke mukhtalif ilaaqoun ke sarkardah ulma shirkat karenge. yeh ijtima jis mein Hindustan bhar se taqreeban teen laakh afraad ki shirkat mutawaqqa hai aur yeh apni noiyat ka ahem ijtima hoga. . jamaat se taqreeban 50 saul se wabsta zimma daraan is ijtima mein shirkat aur khitaab karenge jo dawat wo tableegh ka kaam anjaam day rahay hain. ijtima gaah Hyderabad ke ilaqay shaheen nagar markaz ke ek wasee maidan par phela hua hai jis mein shirkat karne ke liye anay walon ke liye mukhtalif sahulaton ka intizam kiya gaya hai .
Is ijtima se Molana Yousuf , Molana Inaam Ul Hasan , Molana Zakria, Molana Ibrahim, Molana Yousuf , Molana Sheikh , Molana Inaam Ul Hasan , Molana Ahmed Laat Ndoy, Molana Inaam Ul Hasan Rukan Shoora Tableeghi, Molana Yousuf , Molana Zaheer Ul Hasan Nizaam udiin Walay, Professor Sana ullah Khan Ali Garh Rukan Shoora Hind, Molana Khalid Siddiqui Ali Garh Rukan Shoora Hind, Molana Abdul Ul – Rahman Mumbai , Molana Ismael Godhra Rukan Shoora Hind, moulana Haji Mumtaz Dehli Shoora Dehli , Molana Bhai Sobar Dehli Shoora Dehli , Sheikh Al-Hadith Molana Akbar Shareef Banglore, Molana Ahmed Muri Mewati, Molana Abbu Baker Karnatak, Molana Shahid , Molana Abdul Morad Pradesh, Molana Haji Abdul Ul – Rahman Haryana , Dr Ayub Ghazi Abad, Molana Younus Bandra Mumbai Walay, Janab Shakeel Bhai Walay, Engineer Shamem Bahhar Walay, Molana, Anwar Shirwani Bhopal, Professor Abdul Ul – Rahman , Professor Basha , Bhai Afsar , Molana Abdul Al rashid , Molana Yousuf Ke alawa Deegar Akabireen Shirkat KarenGe .
Ijtima ke liye 4 April se logon ki aamad ka silsila shuru hogaya hai. Hindustan ke mukhtalif maqamat se log is ijtima mein shirkat ke liye Hyderabad pohnchain rahay hain. 5 April ki Fajar ke baad bayan hoga. Zohar ki namaz ke baad bhi bayan hoga. asar ki namaz ke baad fazayl-e-zikar honge. maghrib ke baad bhi ek umomi bayan hoga. dosray din bhi isi tarha ke programme munaqqid kiye jayen ge. dosray din asar ki namaz ke baad nikah ki majlis hogi. teesray din Fajar ke baad bayan hoga. is din 10 bajey aakhri bayan hoga. 12 bujey din dua hogi . dua par ijtima ka ekhtataam hoga .- YTN STAFF