Qahirah: Duniya bhar mein musalmanoun ke khilaaf phelnay wali nafrat mein izafah par aqwam mutahidda ke secretary general Antonio Guterres nay tashweesh ka izhaar karne ke alawa intibah bhi diya hai.
Aalmi idaray ke sarbarah ka yeh bayan Newzealand ki masajid ke dehshat gard hamla ke ek mah baad samnay aaya jis mein 50 afraad shaheed hue. aqwam mutahidda ke secretary general Antonio Gutures nay yeh baat muslim duniya ki qadeem tareen mazhabi darsgah Jamia al azahr ke dora ke mauqa par kahi jahan unhoun nay Imam Azam Ahmed al tabeeb se mulaqaat bhi ki thi .
Antonio Gutures ke bamuwajib hum duniya ke mukhtalif hissoun mein musalman mukhalif jazbaat aur is hawalay se payi jaaney wali nafrat, yahood dushmani, nasal parasti aur dosray mumalik se aaye hue afraad se Bezargi mein izafah dekh rahay hain .
Safaid faam nasal parast ke hathon 15 March ko Newzealand ke shehar Christchurch ki 2 masajid mein honay wali dehshat gardi aur 2018 mein petersburg ki yahodi ibadat gaah mein hui firing ka zikar kya jis mein 11 afraad halaak hogaye they. khayaal rahay ke yahodi ibadat gaah par hamlay ko Amrici tareekh mein yahudion ke khilaaf ab tak ka sab se mohlik hamla kaha jata hai.
Secretary general nay khabardaar kiya ke nafrat angaiz bayaniya mein izafah markazi dhaaray mein daakhil ho raha hai a war social media par kisi jungle ki aag ki terhan phail raha hai. hum aitdaal pasand jamhoori mumalik aur aamranah reyaston mein bhi yeh rujhan farogh paata dekh rahay hain. Antonio Gutures Misr ke 2 roza doray par hain jahan unhon nay Jamia al Azhar ka dora kiya aur Misri sadar Abdel Fattah el-Sisi se bhi mulaqaat ki. is qabal unhoun nay arab league ke ijlaas mein bhi shirkat ki thi .-YTN STAFF