Sunday, May 4, 2025
HomeOthersBusinessJet Airways ka bohraan, bain ul aqwami Parwazoun par pabandi ka khadsha

Jet Airways ka bohraan, bain ul aqwami Parwazoun par pabandi ka khadsha

New Delhi: Private Air line company Jet airways ka iqtisadi bohraan mazeed shadeed ho raha hai aur ab uski bain ul aqwami Parwazoun par pabandi ka khadsha bhi honay laga hai. private air line company jet airways may mojood tayyaroun ki tadaad kam hokar 15 se bhi kam reh gayi hai jis ki wajah se is ki bain ul aqwami Parwazoun par pabandi aed hosakti hai .

Shehri hawabazi ke secretary Pradip Singh Kharola ne yeh ittila di ke is waqt Jet Airways ke 15 se bhi kam tayyaray Parwazoun ke liye moujood hain aur is liye bain ul aqwami Parwazoun ke liye usay di gayi ijazat par phir se ghhour kya jaskta hai. wazeh rahay ke kisi airline company ke paas 20 se ziyada tayyaray honay par hi usay bain ul aqwami ki parwaz khidmaat shuru karne ki ijazat di jati hai. halaanke ye ek soorate haal thodi mukhtalif hai jahan company ko pehlay se hi ijazat mili hui hai aur tayyaron ke kirayon ki adaigi na karne ki wajah se ab is ke paas unki tadaad kam hogayi hai .

Airlines ne kaha hai ke naqad ke bohraan ki wajah se woh kiraye ki raqam nahi chuka payi hai aur is bohraan ko hal karne ke liye kiye gaye iqdamaat ke silsilay mein isne tayyarah patay par denay wali companiyon ko batadiya hai. wazeh rahay ke Jet Airways qarz daaron ko bhi adaigi karne mein nakaam hai. Dewalia Amal ke tehat State Bank of India ki qiyadat walay conserver team ney is ke qarzz ke badlay Equity ke zareya se hisse daari lainay ka faisla kiya hai jisay airlines ke board ne bhi manzoori dedi hai. SBI  fori tour par 1500 crore rupay ki naqad raqam faraham karne par bhi mutfiq hua hai, lekin mulazmeen ke baqaya jaat, tayyarah Eendhan ki adaigi, airports ka tax aur tayyaroun ke kirayoun ki adaigi mein bhaari bakayajat ke paishe nazar yeh raqam kaafi kam hai .- YTN STAFF